fail hone wale ki fariyaad
o paas hone vaale ham ko bhī saath le le
ham rah ga.e akele
ik saath rah ke kaisā bachpan guzar rahā thā
kitnī ḳhushī se apnā jīvan guzar rahā thā
kis kaam kā ye paḌhnā jo dostī se khele
o paas hone vaale ham ko bhī saath le le
ham rah ga.e akele
vo tere saath jā kar galiyoñ kī sair karnā
schōl se nikal kar bāġhoñ kī sair karnā
jab tū nahīñ to ab ham jaa.eñ kahāñ akele
o paas hone vaale ham ko bhī saath le le
ham rah ga.e akele
vo khel khel hī meñ kuchh der ruuTh jaanā
phir ek dūsre ko aapas hī meñ manānā
ab kaun aa ke mujh se āḳhir vo khel khele
o paas hone vaale ham ko bhī saath le le
ham rah ga.e akele
phir fail ho ga.e ham ab ghar ko kaise jaa.eñ
kyā shakl le ke apne maañ baap ko dikhā.eñ
chāroñ taraf lage haiñ nākāmiyoñ ke mele
o paas hone vaale ham ko bhī saath le le
ham rah ga.e akele
o pas hone wale hum ko bhi sath le le
hum rah gae akele
ek sath rah ke kaisa bachpan guzar raha tha
kitni KHushi se apna jiwan guzar raha tha
kis kaam ka ye paDhna jo dosti se khele
o pas hone wale hum ko bhi sath le le
hum rah gae akele
wo tere sath ja kar galiyon ki sair karna
school se nikal kar baghon ki sair karna
jab tu nahin to ab hum jaen kahan akele
o pas hone wale hum ko bhi sath le le
hum rah gae akele
wo khel khel hi mein kuchh der ruTh jaana
phir ek dusre ko aapas hi mein manana
ab kaun aa ke mujh se aaKHir wo khel khele
o pas hone wale hum ko bhi sath le le
hum rah gae akele
phir fail ho gae hum ab ghar ko kaise jaen
kya shakl le ke apne man bap ko dikhaen
chaaron taraf lage hain nakaamiyon ke mele
o pas hone wale hum ko bhi sath le le
hum rah gae akele
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.