faisla
aaj sochā hai ki ehsās ko zaa.il kar duuñ
apne shorīda irāde ko apāhij kar luuñ
apnī majrūh tamannā kā mudāvā na karūñ
apnī ḳhvābīda mohabbat kā alamnāk ma.aal
apnī be-ḳhvāb javānī ko sunāyā na karūñ
apne be-kaif tasavvur ke sahāre ke liye
ek bhī sham.a sar-e-rāh jalāyā na karūñ
apne be-sūd taḳhayyul ko bhaTak jaane duuñ
zindagī jaise guzartī hai guzar jaane duuñ
chand lamhoñ meñ guzarne ko hai hañgāma-e-shab
so ga.e jaam surāhī kā sahārā le kar
sard paḌne lagā ujḌī huī mahfil kā gudāz
thak ga.ī gardish-e-yak-rañg se saaqī kī nazar
chand bedār fasānoñ kā asar luuT gayā
dab gayā talḳh haqīqat meñ nasha tā-ba-kamar
maiñ abhī āḳhirī mai-nosh huuñ maiḳhāne meñ
dekhnā kyā hai mirī samt baḌhā jaam baḌhā
lā surāhī ko mire paas shikasta hī sahī
chheḌ TuuTe hue tāroñ ko karāheñ to zarā
sochtā kyā hai uñDel aur uñDel aur uñDel
sard paḌtī huī mahfil ke mukaddar pe na jā
apne bedār tafakkur kī halākat pe hañsūñ
aaj sochā hai ki ehsās ko zaa.il kar duuñ
aaj socha hai ki ehsas ko zail kar dun
apne shorida irade ko apahij kar lun
apni majruh tamanna ka mudawa na karun
apni KHwabida mohabbat ka alamnak maal
apni be-KHwab jawani ko sunaya na karun
apne be-kaif tasawwur ke sahaare ke liye
ek bhi shama sar-e-rah jalaya na karun
apne be-sud taKHayyul ko bhaTak jaane dun
zindagi jaise guzarti hai guzar jaane dun
chand lamhon mein guzarne ko hai hangama-e-shab
so gae jam surahi ka sahaara le kar
sard paDne laga ujDi hui mahfil ka gudaz
thak gai gardish-e-yak-rang se saqi ki nazar
chand bedar fasanon ka asar luT gaya
dab gaya talKH haqiqat mein nasha ta-ba-kamar
main abhi aaKHiri mai-nosh hun maiKHane mein
dekhna kya hai meri samt baDha jam baDha
la surahi ko mere pas shikasta hi sahi
chheD TuTe hue taron ko karahen to zara
sochta kya hai unDel aur unDel aur unDel
sard paDti hui mahfil ke mukaddar pe na ja
apne bedar tafakkur ki halakat pe hansun
aaj socha hai ki ehsas ko zail kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.