faisla
maiñ tirī yaad meñ duniyā ko bhulā baiThā huuñ
dīda-o-dil tirī rāhoñ meñ bichhā baiThā huuñ
tū jo aa jaa.e to mil jaa.e mire dil ko sukūñ
aah maiñ sabr-o-sukūñ apnā luTā baiThā huuñ
tū samajhtī hai ki ma.ayūb hai aanā terā
merā da.avā hai ki aanā hī paḌegā tujh ko
sham.a bhī jaltī hai parvānoñ kī ḳhātir āḳhir
azm-e-īsār dikhānā hī paḌegā tujh ko
zindagānī kā tavīl aur ye dushvār safar
bin tire paañv mire itnā chaleñge kaise
ye javānī to kisī taur guzar jā.egī
ahd-e-pīrī ke shab-o-roz Dhaleñge kaise
tū ye kahtī thī ki hamrāh chaleñge ham tum
aisā lagtā hai vo da.ave tire jazbātī the
maiñ samajhtā rahā jin va.adoñ ko patthar kī lakīr
ab ye lagtā hai vo iqrār bhī lamhātī the
maiñ bhaTaktā rahā maazī ke añdheroñ meñ bahut
ab magar haal ko pur-nūr banānā hogā
aaj bahlā nahīñ sakte mujhe ḳhālī va.ade
bandisheñ tujh ko sabhī toḌ ke aanā hogā
main teri yaad mein duniya ko bhula baiTha hun
dida-o-dil teri rahon mein bichha baiTha hun
tu jo aa jae to mil jae mere dil ko sukun
aah main sabr-o-sukun apna luTa baiTha hun
tu samajhti hai ki mayub hai aana tera
mera dawa hai ki aana hi paDega tujh ko
shama bhi jalti hai parwanon ki KHatir aaKHir
azm-e-isar dikhana hi paDega tujh ko
zindagani ka tawil aur ye dushwar safar
bin tere panw mere itna chalenge kaise
ye jawani to kisi taur guzar jaegi
ahd-e-piri ke shab-o-roz Dhalenge kaise
tu ye kahti thi ki hamrah chalenge hum tum
aisa lagta hai wo dawe tere jazbaati the
main samajhta raha jin wadon ko patthar ki lakir
ab ye lagta hai wo iqrar bhi lamhati the
main bhaTakta raha mazi ke andheron mein bahut
ab magar haal ko pur-nur banana hoga
aaj bahla nahin sakte mujhe KHali wade
bandishen tujh ko sabhi toD ke aana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.