faisla
mere haath par likh do
faisla judā.ī kā
itnā muḳhtasar likhnā
jitnī tum ne mujh jaise
kam-nasīb shā.ir se
muḳhtasar mohabbat kī
itnā muḳhtasar likkho
faisla judā.ī kā
jitnī mujh meñ sāñseñ haiñ
jitnī merī hastī hai
jis meñ aaj se pahle
vasl ke gulāboñ kī raushnī mahaktī thī
faisla judā.ī kā ab tavīl mat likhnā
jis tarah mirī chāhat
jis tarah mirī ḳhvāhish
faisla judā.ī kā gar tavīl likkhogī
tab maiñ paḌh na pā.ūñgā
maiñ to ab judā.ī ke faisle ko paḌhne tak
zindagī kā sāthī huuñ
zindagī tumhārī hai
mere hath par likh do
faisla judai ka
itna muKHtasar likhna
jitni tum ne mujh jaise
kam-nasib shair se
muKHtasar mohabbat ki
itna muKHtasar likkho
faisla judai ka
jitni mujh mein sansen hain
jitni meri hasti hai
jis mein aaj se pahle
wasl ke gulabon ki raushni mahakti thi
faisla judai ka ab tawil mat likhna
jis tarah meri chahat
jis tarah meri KHwahish
faisla judai ka gar tawil likkhogi
tab main paDh na paunga
main to ab judai ke faisle ko paDhne tak
zindagi ka sathi hun
zindagi tumhaari hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 511)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.