faiz ahmad faiz
fasīl-e-zāt pe thā ek naqsh-e-faryādī
sukūt-e-āb pe koī kañval hile jaise
ḳhud apnā ḳhūn-e-jigar sīñchtā rahā us ko
anā ke dasht meñ laala koī khile jaise
sunā hai dast-e-sabā ḳhanjar-e-ajal le kar
kisī charāġh kī raḳhshandagī ko luuT gayā
ki pattharoñ ke nagar meñ vo aa.ina sā badan
guhar tarāshtā phirtā thā aaj TuuT gayā
fasil-e-zat pe tha ek naqsh-e-faryaadi
sukut-e-ab pe koi kanwal hile jaise
KHud apna KHun-e-jigar sinchta raha us ko
ana ke dasht mein lala koi khile jaise
suna hai dast-e-saba KHanjar-e-ajal le kar
kisi charagh ki raKHshandagi ko luT gaya
ki pattharon ke nagar mein wo aaina sa badan
guhar tarashta phirta tha aaj TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.