faiz-ahmad-faiz ke nam
gul-e-sahar kī na gesū-e-shām kī ḳhushbū
fazā fazā meñ hai tere kalām kī ḳhushbū
chaman se kunj-e-qafas tak qafas se daar talak
kahāñ kahāñ na ga.ī tere naam kī ḳhushbū
matā.a-e-dast-e-sabā ho ki naqsh-e-faryādī
har ek zaḳhm meñ dard-e-avām kī ḳhushbū
khanak ga.ī hai jahāñ tere paañv kī zanjīr
bikhar ga.ī hai vahāñ ehtirām kī ḳhushbū
dil-o-dimāġh ko sarshār kar ga.ī 'maikash'
ġhazal ke phuul se niklī vo jaam kī ḳhushbū
gul-e-sahar ki na gesu-e-sham ki KHushbu
faza faza mein hai tere kalam ki KHushbu
chaman se kunj-e-qafas tak qafas se dar talak
kahan kahan na gai tere nam ki KHushbu
mataa-e-dast-e-saba ho ki naqsh-e-faryaadi
har ek zaKHm mein dard-e-awam ki KHushbu
khanak gai hai jahan tere panw ki zanjir
bikhar gai hai wahan ehtiram ki KHushbu
dil-o-dimagh ko sarshaar kar gai 'maikash'
ghazal ke phul se nikli wo jam ki KHushbu
- Book : KHuli kitab (Pg. 96)
- Author : Masuud maikash muradabadi
- Publication : Adbi Miaar Publications (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.