falastini bachche ke liye lori
Interesting Fact
Dedicated to the Palestinian Children
(2)
mat ro bachche
ro ro ke abhī
terī ammī kī aañkh lagī hai
mat ro bachche
kuchh hī pahle
tere abbā ne
apne ġham se ruḳhsat lī hai
mat ro bachche
terā bhaa.ī
apne ḳhvāb kī titlī pīchhe
duur kahīñ pardes gayā hai
mat ro bachche
terī baajī kā
Dolā parā.e des gayā hai
mat ro bachche
tere āñgan meñ
murda sūraj nahlā ke ga.e haiñ
chandarmā dafnā ke ga.e haiñ
mat ro bachche
ammī, abbā, bājī, bhaa.ī
chāñd aur sūraj
tū gar ro.egā to ye sab
aur bhī tujh ko rulvā.eñge
tū muskā.egā to shāyad
saare ik din bhes badal kar
tujh se khelne lauT ā.eñge
(2)
mat ro bachche
ro ro ke abhi
teri ammi ki aankh lagi hai
mat ro bachche
kuchh hi pahle
tere abba ne
apne gham se ruKHsat li hai
mat ro bachche
tera bhai
apne KHwab ki titli pichhe
dur kahin pardes gaya hai
mat ro bachche
teri baji ka
Dola parae des gaya hai
mat ro bachche
tere aangan mein
murda suraj nahla ke gae hain
chandarma dafna ke gae hain
mat ro bachche
ammi, abba, baji, bhai
chand aur suraj
tu gar roega to ye sab
aur bhi tujh ko rulwaenge
tu muskaega to shayad
sare ek din bhes badal kar
tujh se khelne lauT aaenge
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 658)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.