falastini shohda jo pardes mein kaam aae
Interesting Fact
Dedicated to the Palestinian
(1)
maiñ jahāñ par bhī gayā arz-e-vatan
terī tazlīl ke dāġhoñ kī jalan dil meñ liye
terī hurmat ke charāġhoñ kī lagan dil meñ liye
terī ulfat tirī yādoñ kī kasak saath ga.ī
tere nāranj shagūfoñ kī mahak saath ga.ī
saare an-dekhe rafīqoñ kā jilau saath rahā
kitne hāthoñ se ham-āġhosh mirā haath rahā
duur pardes kī be-mehr guzargāhoñ meñ
ajnabī shahr kī benām-o-nishāñ rāhoñ meñ
jis zamīñ par bhī khilā mere lahū kā parcham
lahlahātā hai vahāñ arz-e-filistīñ kā alam
tere a.adā ne kiyā ek filistīñ barbād
mere zaḳhmoñ ne kiye kitne filistīñ ābād
(1)
main jahan par bhi gaya arz-e-watan
teri tazlil ke daghon ki jalan dil mein liye
teri hurmat ke charaghon ki lagan dil mein liye
teri ulfat teri yaadon ki kasak sath gai
tere naranj shagufon ki mahak sath gai
sare an-dekhe rafiqon ka jilau sath raha
kitne hathon se ham-aghosh mera hath raha
dur pardes ki be-mehr guzargahon mein
ajnabi shahr ki benam-o-nishan rahon mein
jis zamin par bhi khila mere lahu ka parcham
lahlahata hai wahan arz-e-filistin ka alam
tere aada ne kiya ek filistin barbaad
mere zaKHmon ne kiye kitne filistin aabaad
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 656)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.