fan qatil hai
fan ke but-kade meñ dāḳhil ho kar
apne rañgoñ meñ haath gholnā
apnī shā.irī kī bansī bajānā
apne afsānoñ ke har ek sanam se muḳhātab honā
aur suroñ se ham-kalām honā
fankār kī zindagī kā ḳhulāsa hai
fankār fan khātā hai
fan oḌhtā hai
fan dekhtā hai
fan suntā hai
lekin us kī musavvirī
us kī shā.irī
us kī mausīqī
aur us kī kahāniyoñ kā natīja alamiya hai
majīd-'amjad' apnī dulhan ke pahlū meñ jaan de kar use suhāgan rakhtā hai
aur maazī kā hissa ban kar haal meñ zinda rahtā hai
fankār kī ḳhānqāh lañgar se māvarā hai
fan ke but-kade mein daKHil ho kar
apne rangon mein hath gholna
apni shairi ki bansi bajaana
apne afsanon ke har ek sanam se muKHatab hona
aur suron se ham-kalam hona
fankar ki zindagi ka KHulasa hai
fankar fan khata hai
fan oDhta hai
fan dekhta hai
fan sunta hai
lekin us ki musawwiri
us ki shairi
us ki mausiqi
aur us ki kahaniyon ka natija alamiya hai
majid-'amjad' apni dulhan ke pahlu mein jaan de kar use suhagan rakhta hai
aur mazi ka hissa ban kar haal mein zinda rahta hai
fankar ki KHanqah langar se mawara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.