fana ka ilaqa
bahut narm-o-nāzuk
hasīñ pañkh vaalī
pareshān titlī
kabhī patte chhū kar
kabhī chuum kar phuul
rāh-e-baqā DhūñDne meñ lagī thī
kiran āftābī thī detī dilāsā
havā bhī thapaktī thī
shafqat se us ko
ki itne meñ insān-zāda koī
chupke se apnī chuTkī meñ le kar
baḌe pyaar se
is hasīñ pañkh vaalī
pareshān titlī ko
dikhlā gayā hai
fanā kā ilāqa
bahut narm-o-nazuk
hasin pankh wali
pareshan titli
kabhi patte chhu kar
kabhi chum kar phul
rah-e-baqa DhunDne mein lagi thi
kiran aaftabi thi deti dilasa
hawa bhi thapakti thi
shafqat se us ko
ki itne mein insan-zada koi
chupke se apni chuTki mein le kar
baDe pyar se
is hasin pankh wali
pareshan titli ko
dikhla gaya hai
fana ka ilaqa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.