fana ke liye ek nazm
mehrbānī raat kā pahlā pahar hai
sub.h-e-zindāñ kī halākat
shaam vahshat-gar kī maut
vājibutta.azīm hai vo shaḳhs jo pahle marā
ḳhisht se kuuza ġhanīmat
kūza-e-vahshat se vahshat-gar kī ḳhaak
ḳhaak se āb-e-namak
bārishoñ meñ maiñ namak kā ghar banā.ūñ
barf-bārī meñ purāne baañs kā
tasht meñ sindūr chhide sikke sajā kar beach raste par rakhūñ
raat ke kohre meñ khiḌkī khol kar dekhūñ use
sub.h tak murda parinde
dopahar tak us ke hone kā gumāñ
shaam phir kohrā khulī khiḌkī parinde
us ke āñgan kī vahī ham-sā.egī
vo nahīñ martā jo pichhlī raat tak jaagā kiyā
mehrbānī raat kā pahlā pahar hai
laḌkiyoñ ne ghaas par nazmeñ likhīñ
paasī ke maTke toḌ Daale
āñganoñ meñ giit gaa.e ghar ga.iiñ
bāshoñ meñ dhuup sī us aañkh ne dekhā mujhe
kis ko jañgal chāhiye kis ko samundar chāhiye
ye hayā-ālūd shaam
khiḌkiyoñ se khiḌkiyoñ tak jhilmilātī jā rahī hai
qissa-gar zindāñ se chal kar aa.e haiñ
āñganoñ ko saaf kar lo
laḌkiyoñ ko shaam kā khānā khilā do
shaam se pahle sulā do
vahshatoñ kī niiñd kachchī aañkh ko zebā nahīñ
shaam ḳhvāb-e-qissa-gar hai qissa-e-zindān-e-shām
mehrbānī raat kā pahlā pahar hai
mehrbani raat ka pahla pahar hai
subh-e-zindan ki halakat
sham wahshat-gar ki maut
wajibuttazim hai wo shaKHs jo pahle mara
KHisht se kuza ghanimat
kuza-e-wahshat se wahshat-gar ki KHak
KHak se aab-e-namak
barishon mein main namak ka ghar banaun
barf-bari mein purane bans ka
tasht mein sindur chhide sikke saja kar beach raste par rakhun
raat ke kohre mein khiDki khol kar dekhun use
subh tak murda parinde
dopahar tak us ke hone ka guman
sham phir kohra khuli khiDki parinde
us ke aangan ki wahi ham-saegi
wo nahin marta jo pichhli raat tak jaga kiya
mehrbani raat ka pahla pahar hai
laDkiyon ne ghas par nazmen likhin
pasi ke maTke toD Dale
aanganon mein git gae ghar gain
bashon mein dhup si us aankh ne dekha mujhe
kis ko jangal chahiye kis ko samundar chahiye
ye haya-alud sham
khiDkiyon se khiDkiyon tak jhilmilati ja rahi hai
qissa-gar zindan se chal kar aae hain
aanganon ko saf kar lo
laDkiyon ko sham ka khana khila do
sham se pahle sula do
wahshaton ki nind kachchi aankh ko zeba nahin
sham KHwab-e-qissa-gar hai qissa-e-zindan-e-sham
mehrbani raat ka pahla pahar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.