fana ki anjuman se
baḌī ghuTan hai
savāl-e-hastī to hāñpte haiñ
nazar kī uryāniyāñ milī haiñ
kise kahūñ ki
ye mire jazboñ kā bāsī-pan hai
baḌī ghuTan hai
jo sar-ba-kaf the,
gire paḌe haiñ
jo gul-shafaq the,
vo nāliyoñ se ubal rahe haiñ
kisī jahannam kī sī jalan hai
baḌī ghuTan hai
koī to rauzan
koī darīcha
kahīñ darāḌoñ se koī rasta
fanā kī lamhoñ kī anjuman se
baḌī ghuTan hai
baDi ghuTan hai
sawal-e-hasti to hanpte hain
nazar ki uryaniyan mili hain
kise kahun ki
ye mere jazbon ka basi-pan hai
baDi ghuTan hai
jo sar-ba-kaf the,
gire paDe hain
jo gul-shafaq the,
wo naliyon se ubal rahe hain
kisi jahannam ki si jalan hai
baDi ghuTan hai
koi to rauzan
koi daricha
kahin daraDon se koi rasta
fana ki lamhon ki anjuman se
baDi ghuTan hai
- Book : Vaqt ki qiad se (Pg. 114)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.