fankar
is bhare shahr meñ har chiiz kī qīmat Thahrī
dard bik jaate haiñ jazbāt bikā karte haiñ
jagmagāte hue sikkoñ ke evaz duniyā meñ
kitne shā.er haiñ jo din raat bikā karte haiñ
ik tirā shā.er-e-ḳhuddār nahīñ bik saktā
merī mahbūb tirā pyaar nahīñ bik saktā
mere ḳhākoñ meñ tire husn kī tasvīreñ haiñ
jumbish-e-zulf tirī jumbish-e-lab terī hai
merā haq kyā hai jo nīlām uThā.ūñ in kā
mere ash.ār vo daulat hai jo ab terī hai
ab ye sarmaya-e-ash.ār nahīñ bik saktā
merī mahbūb tirā pyaar nahīñ bik saktā
apne she.roñ kā chaman nazr kiyā hai tujh ko
apnā andāz-e-suḳhan nazr kiyā hai tujh ko
dhaḌkaneñ mere javāñ dil kī basī haiñ jis meñ
maiñ ne vo fikr vo fan nazr kiyā hai tujh ko
kisī fankār kā kirdār nahīñ bik saktā
merī mahbūb tirā pyaar nahīñ bik saktā
is bhare shahr mein har chiz ki qimat Thahri
dard bik jate hain jazbaat bika karte hain
jagmagate hue sikkon ke ewaz duniya mein
kitne shaer hain jo din raat bika karte hain
ek tera shaer-e-KHuddar nahin bik sakta
meri mahbub tera pyar nahin bik sakta
mere KHakon mein tere husn ki taswiren hain
jumbish-e-zulf teri jumbish-e-lab teri hai
mera haq kya hai jo nilam uThaun in ka
mere ashaar wo daulat hai jo ab teri hai
ab ye sarmaya-e-ashaar nahin bik sakta
meri mahbub tera pyar nahin bik sakta
apne sheron ka chaman nazr kiya hai tujh ko
apna andaz-e-suKHan nazr kiya hai tujh ko
dhaDkanen mere jawan dil ki basi hain jis mein
main ne wo fikr wo fan nazr kiya hai tujh ko
kisi fankar ka kirdar nahin bik sakta
meri mahbub tera pyar nahin bik sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.