faqat chand lamhe
bahut der hai
bas ke aane meƱ
aao
kahīƱ paas kī lawn par baiTh jaa.eƱ
chaTaįø³htÄ hai merÄ« bhÄ« rag rag meƱ sÅ«raj
bahut der se tum bhÄ« chup chup khaįøÄ« ho
na maiƱ tum se vÄqif
na tum mujh se vÄqif
na.Ä« saarÄ« bÄteƱ na.e saare qisse
chamakte hue lafz chamakte lahje
faqat chand ghaįøiyÄƱ
faqat chand lamhe
na maiƱ apne dukh-dard kÄ« baat chheįøÅ«Ć±
na tum apne ghar kÄ« kahÄnÄ« sunÄo
maiñ mausam banūñ
tum fazÄ.eƱ jagÄo
bahut der hai
bas ke aane mein
aao
kahin pas ki lawn par baiTh jaen
chaTaKHta hai meri bhi rag rag mein suraj
bahut der se tum bhi chup chup khaDi ho
na main tum se waqif
na tum mujh se waqif
nai sari baaten nae sare qisse
chamakte hue lafz chamakte lahje
faqat chand ghaDiyan
faqat chand lamhe
na main apne dukh-dard ki baat chheDun
na tum apne ghar ki kahani sunao
main mausam banun
tum fazaen jagao
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 203)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.