farar
apne maazī ke tasavvur se hirāsāñ huuñ maiñ
apne guzre hue ayyām se nafrat hai mujhe
apnī be-kār tamannāoñ pe sharminda huuñ
apnī be-sūd umīdoñ pe nadāmat hai mujhe
mere maazī ko andhere meñ dabā rahne do
merā maazī mirī zillat ke sivā kuchh bhī nahīñ
merī ummīdoñ kā hāsil mirī kāvish kā sila
ek be-nām aziyyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
kitnī be-kār umīdoñ kā sahārā le kar
maiñ ne aivān sajā.e the kisī kī ḳhātir
kitnī be-rabt tamannāoñ ke mub.ham ḳhāke
apne ḳhvāboñ meñ basā.e the kisī kī ḳhātir
mujh se ab merī mohabbat ke fasāne na kaho
mujh ko kahne do ki maiñ ne unheñ chāhā hī nahīñ
aur vo mast nigāheñ jo mujhe bhuul ga.iiñ
maiñ ne un mast nigāhoñ ko sarāhā hī nahīñ
mujh ko kahne do ki maiñ aaj bhī jī saktā huuñ
ishq nākām sahī zindagī nākām nahīñ
in ko apnāne kī ḳhvāhish unheñ paane kī talab
shauq-e-bekār sahī sa.ī-e-ġham-e-anjām nahīñ
vahī gesū vahī nazreñ vahī aariz vahī jism
maiñ jo chāhūñ to mujhe aur bhī mil sakte haiñ
vo kañval jin ko kabhī un ke liye khilnā thā
un kī nazroñ se bahut duur bhī khil sakte haiñ
apne mazi ke tasawwur se hirasan hun main
apne guzre hue ayyam se nafrat hai mujhe
apni be-kar tamannaon pe sharminda hun
apni be-sud umidon pe nadamat hai mujhe
mere mazi ko andhere mein daba rahne do
mera mazi meri zillat ke siwa kuchh bhi nahin
meri ummidon ka hasil meri kawish ka sila
ek be-nam aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin
kitni be-kar umidon ka sahaara le kar
main ne aiwan sajae the kisi ki KHatir
kitni be-rabt tamannaon ke mubham KHake
apne KHwabon mein basae the kisi ki KHatir
mujh se ab meri mohabbat ke fasane na kaho
mujh ko kahne do ki main ne unhen chaha hi nahin
aur wo mast nigahen jo mujhe bhul gain
main ne un mast nigahon ko saraha hi nahin
mujh ko kahne do ki main aaj bhi ji sakta hun
ishq nakaam sahi zindagi nakaam nahin
in ko apnane ki KHwahish unhen pane ki talab
shauq-e-bekar sahi sai-e-gham-e-anjam nahin
wahi gesu wahi nazren wahi aariz wahi jism
main jo chahun to mujhe aur bhi mil sakte hain
wo kanwal jin ko kabhi un ke liye khilna tha
un ki nazron se bahut dur bhi khil sakte hain
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.