fard
itne baḌe nizām meñ sirf ik merī hī nekī se kyā hotā hai
maiñ to is se ziyāda kar hī kyā saktā huuñ
mez par apnī saarī duniyā
kāġhaz aur qalam aur TuuTī phūTī nazmeñ
saarī chīzeñ baḌe qarīne se rakh dī haiñ
dil meñ bharī huī haiñ itnī achchhī achchhī bāteñ
in bātoñ kā dhyān aatā hai to ye saañs baḌī hī besh-bahā lagtī hai
mujh ko bhī to kaisī kaisī bātoñ se rāhat miltī hai
mujh ko is rāhat meñ sādiq pā kar
saare jhuuT mirī tasdīq ko aa jaate haiñ
ek agar maiñ sachchā hotā
merī is duniyā meñ jitne qarīne saje hue haiñ
un kī jagah be-tartībī se paḌe hue kuchh TukḌe hote
mere jism ke TukḌe kaale jhuuT ke is chalte aare ke nīche
itne baḌe nizām se merī ik nekī Takrā saktī thī
agar ik maiñ hī sachchā hotā
itne baDe nizam mein sirf ek meri hi neki se kya hota hai
main to is se ziyaada kar hi kya sakta hun
mez par apni sari duniya
kaghaz aur qalam aur TuTi phuTi nazmen
sari chizen baDe qarine se rakh di hain
dil mein bhari hui hain itni achchhi achchhi baaten
in baaton ka dhyan aata hai to ye sans baDi hi besh-baha lagti hai
mujh ko bhi to kaisi kaisi baaton se rahat milti hai
mujh ko is rahat mein sadiq pa kar
sare jhuT meri tasdiq ko aa jate hain
ek agar main sachcha hota
meri is duniya mein jitne qarine saje hue hain
un ki jagah be-tartibi se paDe hue kuchh TukDe hote
mere jism ke TukDe kale jhuT ke is chalte aare ke niche
itne baDe nizam se meri ek neki Takra sakti thi
agar ek main hi sachcha hota
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 483)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.