fareb
har ek shaam mujhe yuuñ ḳhayāl aatā hai
ki jaise TaaT kā mailā phaTā huā parda
tumhāre haath kī jumbish se kaañp jā.egā
ki jaise tum abhī daftar se lauT aaoge
mujhe to yaad nahīñ kuchh tumhāre sar kī qasam
magar paḌos kī laḌkī batā rahī thī ki maiñ
ab apnī maañg meñ afshāñ nahīñ sajātī huuñ
tave pe roTiyāñ akasr jalā.ī haiñ maiñ ne
shakar ke badle namak chaa.e meñ milātī huuñ
vo kah rahī thī ki nañgī kalā.iyāñ merī
tamām umr yūñhī chūḌiyoñ ko tarseñgī
ġhamoñ kī dhuup meñ jalte hue is āñgan par
masarratoñ kī ghaTā.eñ kabhī na barseñgī
vo kah rahī thī ki tum ab kabhī na aaoge
galī ke moḌ pe lekin har ek shaam mujhe
tumhāre qadmoñ kī aahaT sunā.ī detī hai
har ek shaam mujhe yuuñ ḳhayāl aatā hai
ki jaise tum abhī daftar se lauT aaoge
har ek sham mujhe yun KHayal aata hai
ki jaise TaT ka maila phaTa hua parda
tumhaare hath ki jumbish se kanp jaega
ki jaise tum abhi daftar se lauT aaoge
mujhe to yaad nahin kuchh tumhaare sar ki qasam
magar paDos ki laDki bata rahi thi ki main
ab apni mang mein afshan nahin sajati hun
tawe pe roTiyan akasr jalai hain main ne
shakar ke badle namak chae mein milati hun
wo kah rahi thi ki nangi kalaiyan meri
tamam umr yunhi chuDiyon ko tarsengi
ghamon ki dhup mein jalte hue is aangan par
masarraton ki ghaTaen kabhi na barsengi
wo kah rahi thi ki tum ab kabhi na aaoge
gali ke moD pe lekin har ek sham mujhe
tumhaare qadmon ki aahaT sunai deti hai
har ek sham mujhe yun KHayal aata hai
ki jaise tum abhi daftar se lauT aaoge
- Book : Dhoop Ka Dareecha (Pg. 88)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.