farishte aadam ko jannat se ruKHsat karte hain
Interesting Fact
(Bal-e-Jibril)
atā huī hai tujhe roz o shab kī betābī
ḳhabar nahīñ ki tū ḳhākī hai yā ki sīmābī!
sunā hai ḳhaak se terī numūd hai lekin
tirī sarisht meñ hai kaukabī o mahtābī!
jamāl apnā agar ḳhvāb meñ bhī tū dekhe
hazār hosh se ḳhush-tar tirī shakar-ḳhvābī
girāñ-bahā hai tirā girya-e-sahar-gāhī
isī se hai tire naḳhl-e-kuhan kī shādābī!
tirī navā se hai be-parda zindagī kā zamīr
ki tere saaz kī fitrat ne kī hai mizrābī!
ata hui hai tujhe roz o shab ki betabi
KHabar nahin ki tu KHaki hai ya ki simabi!
suna hai KHak se teri numud hai lekin
teri sarisht mein hai kaukabi o mahtabi!
jamal apna agar KHwab mein bhi tu dekhe
hazar hosh se KHush-tar teri shakar-KHwabi
giran-baha hai tera girya-e-sahar-gahi
isi se hai tere naKHl-e-kuhan ki shadabi!
teri nawa se hai be-parda zindagi ka zamir
ki tere saz ki fitrat ne ki hai mizrabi!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.