fariyaad (fariyaadi aashna hai)
kahāñ ho 'ġhālibo' 'mīro' 'nazīro'
kahāñ ho merī zulfoñ ke asīro
merī sahbā ke paimāno, kahāñ ho
kahāñ ho mere dīvāno kahāñ ho
kahāñ ho ālimo masnad-nashīno
mire ḳhvān-e-atā ke reza-chīno
sila kuchh to vafā kā do kahāñ ho
kahāñ ho mere shahzādo kahāñ ho
kahāñ ho ai mire dar ke gadāo
kam-az-kam apnī sūrat to dikhāo
ki meñ lāchār ho kar rah ga.ī huuñ
bahut bīmār ho kar rah ga.ī huuñ
kahāñ ho ai qalam-kāro, jiyālo
mujhe kursī-nashīnoñ se bachā lo
ye mujh se duur hote jā rahe haiñ
bahut maġhrūr hote jā rahe haiñ
mirī roTī pe hotā hai guzārā
magar chhoḌā hai mujh ko be-sahārā
sila apnī vafā kā pā chukī huuñ
meñ un ke ghar se rāñdī jā chukī huuñ
haqīqat hai ki meñ us kī amiiñ huuñ
ye ghar merā hai lekin maiñ nahīñ huuñ
mire hī naam se ohda milā hai
mire sadqe meñ in kā tantana hai
magar ye mujh ko khāte jā rahe haiñ
mirī hastī miTāte jā rahe haiñ
suhāgan thī abhāgan ho ga.ī huuñ
meñ dar dar kī bhikāran ho ga.ī huuñ
kahan ho 'ghaalibo' 'miro' 'naziro'
kahan ho meri zulfon ke asiro
meri sahba ke paimano, kahan ho
kahan ho mere diwano kahan ho
kahan ho aalimo masnad-nashino
mere KHwan-e-ata ke reza-chino
sila kuchh to wafa ka do kahan ho
kahan ho mere shahzado kahan ho
kahan ho ai mere dar ke gadao
kam-az-kam apni surat to dikhao
ki mein lachaar ho kar rah gai hun
bahut bimar ho kar rah gai hun
kahan ho ai qalam-karo, jiyalo
mujhe kursi-nashinon se bacha lo
ye mujh se dur hote ja rahe hain
bahut maghrur hote ja rahe hain
meri roTi pe hota hai guzara
magar chhoDa hai mujh ko be-sahaara
sila apni wafa ka pa chuki hun
mein un ke ghar se randi ja chuki hun
haqiqat hai ki mein us ki amin hun
ye ghar mera hai lekin main nahin hun
mere hi nam se ohda mila hai
mere sadqe mein in ka tantana hai
magar ye mujh ko khate ja rahe hain
meri hasti miTate ja rahe hain
suhagan thi abhagan ho gai hun
mein dar dar ki bhikaran ho gai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.