tum mirī khoj meñ
yuuñ hī tārīk ġhāroñ maThoñ mābadoñ ḳhānqāhoñ meñ
ghuT ghuT ke mar jāoge
maiñ nahīñ mil sakūñgā tumheñ ab kabhī
dharm meñ singh meñ dhyān meñ gyaan meñ
niile sāgar kī tah meñ utar kar
brazil ke jañgaloñ meñ bhaTak kar
himāla kī choTī pe chaḌh kar
mujhe tum na āvāz do
paas ko tyaag kar
aas ke baam par
merī aamad ke lekin raho muntazir
maiñ zarūr ā.ūñgā
suukh kar vaqt jis din tuḌā jā.egā
duudh kī tarah ākāsh phaT jā.egā
din ke TukḌe zamīñ par bikhar jā.eñge
raat ke sar kā har baal jhaḌ jā.egā
chāñd sūraj samā jā.eñge jab mire garbh meñ
aur saarā ujālā pighal kar añdhere meñ bah jā.egā
bas usī vaqt tum hāñpte kāñpte
nisf lamhe ko hāthoñ meñ pakḌe hue
ḳhauf ke kivāḌe se jhāñk kar dekh loge mujhe
aur maiñ
muñh se ik qahqaha thuuk kar
saur-mandal se bāhar nikal ā.ūñgā
is dharātal ko khā lūñgā
saare samundar ko pī jā.ūñgā
aur phir dekhte dekhte
oxigen meñ tabdīl ho jā.ūñgā
in ḳhalāoñ ke sāgar meñ kho jā.ūñgā
tum meri khoj mein
yun hi tarik ghaaron maThon mabadon KHanqahon mein
ghuT ghuT ke mar jaoge
main nahin mil sakunga tumhein ab kabhi
dharm mein singh mein dhyan mein gyan mein
nile sagar ki tah mein utar kar
brazil ke jangalon mein bhaTak kar
himala ki choTi pe chaDh kar
mujhe tum na aawaz do
pas ko tyag kar
aas ke baam par
meri aamad ke lekin raho muntazir
main zarur aaunga
sukh kar waqt jis din tuDa jaega
dudh ki tarah aakash phaT jaega
din ke TukDe zamin par bikhar jaenge
raat ke sar ka har baal jhaD jaega
chand suraj sama jaenge jab mere garbh mein
aur sara ujala pighal kar andhere mein bah jaega
bas usi waqt tum hanpte kanpte
nisf lamhe ko hathon mein pakDe hue
KHauf ke kiwaDe se jhank kar dekh loge mujhe
aur main
munh se ek qahqaha thuk kar
saur-mandal se bahar nikal aaunga
is dharaatal ko kha lunga
sare samundar ko pi jaunga
aur phir dekhte dekhte
oxigen mein tabdil ho jaunga
in KHalaon ke sagar mein kho jaunga
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 685)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.