yaum-e-mazdur
dīvār pe mazdūr kī tasvīr sajā kar
aḳhbār ke kone meñ ḳhabar ek lagā kar
kuchh card bhī mazdūr ke hāthoñ meñ uThā kar
do-chār ġharīboñ ko bhī dhartī pe biThā kar
un meñ se kisī ek ko stage par lā kar
phir us kī kahānī sabhī logoñ ko sunā kar
taqrīr karā kar to kabhī taalī bajā kar
mazdūr ko mazdūr kā irfān dilā kar
aur apne ta.iiñ kār-e-muqaddas ko nibhā kar
har saal ye ehsān jatāte haiñ baḌe log
mazdūr kā phir jashn manāte haiñ baḌe log
diwar pe mazdur ki taswir saja kar
aKHbar ke kone mein KHabar ek laga kar
kuchh card bhi mazdur ke hathon mein uTha kar
do-chaar gharibon ko bhi dharti pe biTha kar
un mein se kisi ek ko stage par la kar
phir us ki kahani sabhi logon ko suna kar
taqrir kara kar to kabhi tali baja kar
mazdur ko mazdur ka irfan dila kar
aur apne tain kar-e-muqaddas ko nibha kar
har sal ye ehsan jatate hain baDe log
mazdur ka phir jashn manate hain baDe log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.