farogh farruKH-zad ke liye ek nazm
Interesting Fact
Dedicated to the controversial Persian poet and film director Farogh Farrukh-zad, who died in a fatal car crash.
musāhib-e-shāh se kaho ki
faqīh-e-āzam bhī aaj tasdīq kar ga.e haiñ
ki fasl phir se gunāhgāroñ kī pak ga.ī hai
huzūr kī jumbish-e-nazar ke
tamām jallād muntazir haiñ
ki kaun sī had janāb jaarī kareñ
to tāmīl-e-bandagī ho
kahāñ pe sar aur kahāñ pe dastār utārnā ahsan-ul-amal hai
kahāñ pe hāthoñ kahāñ zabānoñ ko qat.a kījiye
kahāñ pe darvāza rizq kā band karnā hogā
kahāñ pe āsā.ishoñ kī bhūkoñ ko maar diije
kahāñ baTegī luaan kī chhūT
aur kahāñ par
rajm ke ahkām jaarī hoñge
kahāñ pe nau saala bachchiyāñ chahal saala mardoñ ke saath
sañgīn meñ pirone kā hukm hogā
kahāñ pe iqbālī mulzimoñ ko
kisī tarah shak kā fā.eda ho
kahāñ pe māsūm daar par khīñchnā paḌegā
huzūr ahkām jo bhī jaarī kareñge
faqat iltijā ye hogī
ki apne irshād-e-āliya ko
zabānī rakheñ
vagarna
qānūnī uljhaneñ haiñ!
musahib-e-shah se kaho ki
faqih-e-azam bhi aaj tasdiq kar gae hain
ki fasl phir se gunahgaron ki pak gai hai
huzur ki jumbish-e-nazar ke
tamam jallad muntazir hain
ki kaun si had janab jari karen
to tamil-e-bandagi ho
kahan pe sar aur kahan pe dastar utarna ahsan-ul-amal hai
kahan pe hathon kahan zabanon ko qata kijiye
kahan pe darwaza rizq ka band karna hoga
kahan pe aasaishon ki bhukon ko mar dije
kahan baTegi luan ki chhuT
aur kahan par
rajm ke ahkaam jari honge
kahan pe nau sala bachchiyan chahal sala mardon ke sath
sangin mein pirone ka hukm hoga
kahan pe iqbaali mulzimon ko
kisi tarah shak ka faeda ho
kahan pe masum dar par khinchna paDega
huzur ahkaam jo bhi jari karenge
faqat iltija ye hogi
ki apne irshad-e-aliya ko
zabani rakhen
wagarna
qanuni uljhanen hain!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.