farq
maiñ bhī paidā huī
vo bhī paidā huā
maiñ aa.ī to ḳhushiyāñ bahut thiiñ magar
vo aayā to shādyāne baje
maiñ fakhr-e-māñ-bāp thā
vo faḳhr-e-māñ-bāp thā
maiñ ġham-ḳhvār thī
vo jalālī bahut thā
maiñ farmāñ-bardār thī
vo bāġhī bahut thā
maiñ zamīñ thā
vo āsmāñ thā
merā bachpan chhīnā gayā
us ko bachcha samjhā gayā
maiñ ḳhatāvār thī aur
be-ḳhatā us ko samjhā gayā
mujh ko parde meñ rakkhā gayā
us ko āzād chhoḌā gayā
mujh ko chaukā-bartan milā
us ko geñd aur ballā milā
maiñ bhī paḌhtī thī
vo bhī paḌhtā thā
maiñ nāqis-ul-aql thī
vo daanā bahut thā
bazm-e-ālam meñ us kā darja sivā
thā
kyūñki maiñ aurat thī
aur vo mard thā
main bhi paida hui
wo bhi paida hua
main aai to KHushiyan bahut thin magar
wo aaya to shadyane baje
main fakhr-e-man-bap tha
wo faKHr-e-man-bap tha
main gham-KHwar thi
wo jalali bahut tha
main farman-bardar thi
wo baghi bahut tha
main zamin tha
wo aasman tha
mera bachpan chhina gaya
us ko bachcha samjha gaya
main KHatawar thi aur
be-KHata us ko samjha gaya
mujh ko parde mein rakkha gaya
us ko aazad chhoDa gaya
mujh ko chauka-bartan mila
us ko gend aur balla mila
main bhi paDhti thi
wo bhi paDhta tha
main naqis-ul-aql thi
wo dana bahut tha
bazm-e-alam mein us ka darja siwa
tha
kyunki main aurat thi
aur wo mard tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.