farz
pech-dar-pech masā.il meñ sadā
zindagī ne mujhe uljhā.e rakhā
aur maiñ peT ke dozaḳh ke liye
roz-o-shab tang siyah rastoñ par
le ke ummīd kā chhoTā sā diyā
kabhī is goshe kabhī us goshe
izzat-e-nafs-o-anā saath liye
biij mehnat ke sadā botī rahī
bistar-e-aish ke sapne le kar
farsh-e-sangīñ pe sadā sotī rahī
apnī hastī ko miTā kar aksar
kār-e-dushvār ko āsān kiyā
apne bachchoñ ke ta.ayyush ke liye
ho ke begāna-e-ārām-o-sukūñ
har ghaḌī kaam faqat kaam kiyā
aaj jab bachche javāñ-sāl hue
be-niyāzāna ye kah kar guzre
aaj tak aap ne jo kuchh bhī kiyā
ham pe ehsān nahīñ hai ye na qarz
ye haqīqat meñ hai maañ baap kā farz
pech-dar-pech masail mein sada
zindagi ne mujhe uljhae rakha
aur main peT ke dozaKH ke liye
roz-o-shab tang siyah raston par
le ke ummid ka chhoTa sa diya
kabhi is goshe kabhi us goshe
izzat-e-nafs-o-ana sath liye
bij mehnat ke sada boti rahi
bistar-e-aish ke sapne le kar
farsh-e-sangin pe sada soti rahi
apni hasti ko miTa kar aksar
kar-e-dushwar ko aasan kiya
apne bachchon ke tayyush ke liye
ho ke begana-e-aram-o-sukun
har ghaDi kaam faqat kaam kiya
aaj jab bachche jawan-sal hue
be-niyazana ye kah kar guzre
aaj tak aap ne jo kuchh bhi kiya
hum pe ehsan nahin hai ye na qarz
ye haqiqat mein hai man bap ka farz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.