fasad ke baad
fasād-e-shahr tham gayā
fazā meñ bas ga.ī hai ek zahr-nāk ḳhāmushī
hirās ḳhauf bebasī
maiñ khā rahā huuñ pī rahā huuñ jī rahā huuñ kis tarah
ye narm luqma-e-ġhiza
garm ghūñT chaa.e kā
kisī ḳhayāl ke tale
jale hue lahū ke zā.iqe sā muñh meñ jam gayā
fishār-e-kisht-o-ḳhuñ ke ba.ad
muztarib sukūt
jaise dhaḌkanoñ ke rāste meñ tham gayā
shu.ūr-e-umr-o-zindagī simaT gayā hai karb ke jumūd meñ
shigāf paḌ gayā hai jaise duur tak vajūd meñ
vo kaifiyat hai
jaise ghar meñ koī mar gayā ho aur
us kī laash der tak zamīn par dharī rahe
koī jagah se hil ke
us ko dafn tak na kar sake
fasad-e-shahr tham gaya
faza mein bas gai hai ek zahr-nak KHamushi
hiras KHauf bebasi
main kha raha hun pi raha hun ji raha hun kis tarah
ye narm luqma-e-ghiza
garm ghunT chae ka
kisi KHayal ke tale
jale hue lahu ke zaiqe sa munh mein jam gaya
fishaar-e-kisht-o-KHun ke baad
muztarib sukut
jaise dhaDkanon ke raste mein tham gaya
shuur-e-umr-o-zindagi simaT gaya hai karb ke jumud mein
shigaf paD gaya hai jaise dur tak wajud mein
wo kaifiyat hai
jaise ghar mein koi mar gaya ho aur
us ki lash der tak zamin par dhari rahe
koi jagah se hil ke
us ko dafn tak na kar sake
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.