fasana-e-adam
maiñ thā zamīr-e-mashiyyat meñ ek azm-e-jalīl
hanūz shauq kī karvaT bhī lī na thī maiñ ne
ki daf.atan mut.harrik hue lab-e-taḳhlīq
pakaḌ lī sūrat-e-zāhir vajūd kī maiñ ne
vo sub.h-e-ālam-e-hairat vo jalva-zār-e-bahisht
havā chaman kī lagī aañkh khol dī maiñ ne
vo tarbiyat-gah-zauq-e-nazar, vo vādī-e-nūr
jahāñ se paa.ī mohabbat kī raushnī maiñ ne
vo unfuvān-e-tamannā vo ibtidā-e-junūn
vo ik ḳhalish jise samjhā thā zindagī maiñ ne
kiyā surūr ne ik ālam-e-digar paidā
churā ke pī jo mai-e-sarkash-e-ḳhudiī maiñ ne
ḳhudī ke nashshe meñ allāh re be-ḳhudī merī
badan se chādar-e-ismat bhī pheñk dī maiñ ne
huā hudūd-e-nazar se nikal ke āvāra
havā-e-shauq meñ jannat bhī chhoḌ dī maiñ ne
farishte rah ga.e hairat se dekhte mujh ko
na kī qubūl mashiyyat kī rahbarī maiñ ne
dalīl-e-rāh banī apnī garmī-e-parvāz
ki tāqat-e-par-e-jibrīl chhīn lī maiñ ne
baḌhīñ sitāroñ kī duniyā.eñ mere lene ko
utar ke arsh se nīche nazar jo kī maiñ ne
magar zamīñ kī kashish ne sū-e-zamīñ khīñchā
kiyā pasand ye zindān-e-unsurī maiñ ne
jagah milī jo taḌapne kī be-qarārī ko
to phir hudūd meñ vus.at kī daad dī maiñ ne
huā talātum-e-hastī ba-ālam-e-zarrāt
chhiḌak dī ḳhāk-e-bayābāñ pe zindagī maiñ ne
numū ke josh se saudā-e-rañg-o-bū niklā
zamīñ ke dil kī tamannā nikāl dī maiñ ne
huiiñ jahān-e-amal meñ sharī.ateñ paidā
ḳhudā ke naam pe barpā jo kī ḳhudī maiñ ne
kabhī jalā.ī añdhere meñ sham.a-e-ilm-o-amal
kabhī bujhā dī hidāyat kī raushnī maiñ ne
kabhī bigāḌ ke rakh diiñ savāb kī shakleñ
kabhī badal dī haqīqat gunāh kī maiñ ne
baḌhā to rah gayā pīchhe mire zamāna-e-hāl
rukā to vaqt kī rafta rok dī maiñ ne
zamīñ pe shauq ke fitne bichhā diye har sū
fazā meñ niiñd kī mastī bikher dī maiñ ne
kabhī jagā dī qayāmat nafas kī Thokar se
uThā ke sūr-e-sarāfīl-e-zindagī maiñ ne
junūñ ke josh meñ parde nazar ke chaak kiye
naqāb noch ke fitrat kī pheñk dī maiñ ne
qabā-e-laila-e-tahzīb chaak kar Daalī
ridā-e-maryam-e-ismat utaar lī maiñ ne
mizāj-e-ātish-e-sozāñ ko kar diyā ThanDā
machā dī bazm-e-anāsir meñ khalbalī maiñ ne
liyā shahanshah-e-ḳhāvar se raushnī kā ḳhirāj
kiyā asiir tabī.at ko barq kī maiñ ne
ba-inqalāb-e-tabī.at mizāj-e-āhan ko
havā kī garmī-e-parvāz baḳhsh dī maiñ ne
bulandiyoñ kā tasavvur bhī rah gayā pīchhe
pahuñch ke itnī bulandī pe saañs lī maiñ ne
ThiThuk ga.iiñ jo nigāheñ qarīb hujla-e-quds
pas-e-hijāb-e-adab ye sadā sunī maiñ ne
ki ai harīf-e-mashiyyat ba-va.ada-gāh-e-azal
Thahar Thahar tirī parvāz dekh lī maiñ ne
main tha zamir-e-mashiyyat mein ek azm-e-jalil
hanuz shauq ki karwaT bhi li na thi main ne
ki dafatan mutharrik hue lab-e-taKHliq
pakaD li surat-e-zahir wajud ki main ne
wo subh-e-alam-e-hairat wo jalwa-zar-e-bahisht
hawa chaman ki lagi aankh khol di main ne
wo tarbiyat-gah-zauq-e-nazar, wo wadi-e-nur
jahan se pai mohabbat ki raushni main ne
wo unfuwan-e-tamanna wo ibtida-e-junun
wo ek KHalish jise samjha tha zindagi main ne
kiya surur ne ek aalam-e-digar paida
chura ke pi jo mai-e-sarkash-e-KHudii main ne
KHudi ke nashshe mein allah re be-KHudi meri
badan se chadar-e-ismat bhi phenk di main ne
hua hudud-e-nazar se nikal ke aawara
hawa-e-shauq mein jannat bhi chhoD di main ne
farishte rah gae hairat se dekhte mujh ko
na ki qubul mashiyyat ki rahbari main ne
dalil-e-rah bani apni garmi-e-parwaz
ki taqat-e-par-e-jibril chhin li main ne
baDhin sitaron ki duniyaen mere lene ko
utar ke arsh se niche nazar jo ki main ne
magar zamin ki kashish ne su-e-zamin khincha
kiya pasand ye zindan-e-unsuri main ne
jagah mili jo taDapne ki be-qarari ko
to phir hudud mein wusat ki dad di main ne
hua talatum-e-hasti ba-alam-e-zarraat
chhiDak di KHak-e-bayaban pe zindagi main ne
numu ke josh se sauda-e-rang-o-bu nikla
zamin ke dil ki tamanna nikal di main ne
huin jahan-e-amal mein shariaten paida
KHuda ke nam pe barpa jo ki KHudi main ne
kabhi jalai andhere mein shama-e-ilm-o-amal
kabhi bujha di hidayat ki raushni main ne
kabhi bigaD ke rakh din sawab ki shaklen
kabhi badal di haqiqat gunah ki main ne
baDha to rah gaya pichhe mere zamana-e-haal
ruka to waqt ki rafta rok di main ne
zamin pe shauq ke fitne bichha diye har su
faza mein nind ki masti bikher di main ne
kabhi jaga di qayamat nafas ki Thokar se
uTha ke sur-e-sarafil-e-zindagi main ne
junun ke josh mein parde nazar ke chaak kiye
naqab noch ke fitrat ki phenk di main ne
qaba-e-laila-e-tahzib chaak kar Dali
rida-e-maryam-e-ismat utar li main ne
mizaj-e-atish-e-sozan ko kar diya ThanDa
macha di bazm-e-anasir mein khalbali main ne
liya shahanshah-e-KHawar se raushni ka KHiraj
kiya asir tabiat ko barq ki main ne
ba-inqalab-e-tabiat mizaj-e-ahan ko
hawa ki garmi-e-parwaz baKHsh di main ne
bulandiyon ka tasawwur bhi rah gaya pichhe
pahunch ke itni bulandi pe sans li main ne
ThiThuk gain jo nigahen qarib hujla-e-quds
pas-e-hijab-e-adab ye sada suni main ne
ki ai harif-e-mashiyyat ba-wada-gah-e-azal
Thahar Thahar teri parwaz dekh li main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.