fasl-e-istada
hamārī nasl
dasht-e-nā-murād kī
vo fasl hai
jise añdheroñ se numū milī
ye vahshatoñ kā nam kashīd kar
jaḌoñ ko sīñchtī rahī
ye ḳhauf kī fazāoñ meñ bhī phaltī phūltī rahī
ye fasl-e-nā-taras
jo ab tamām hai
kamāl hai
jahān-e-ḳhush-ma.āsh ke
kisī na.e fareb kī hai muntazir
hamari nasl
dasht-e-na-murad ki
wo fasl hai
jise andheron se numu mili
ye wahshaton ka nam kashid kar
jaDon ko sinchti rahi
ye KHauf ki fazaon mein bhi phalti phulti rahi
ye fasl-e-na-taras
jo ab tamam hai
kamal hai
jahan-e-KHush-maash ke
kisi nae fareb ki hai muntazir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.