abbu ji
itnā kyuuñ nārāz ho mujh par yuuñ mat DāñTo abbū jī
maiñ huuñ nanhā munnā bachcha itnā jaano abbū jī
yuuñ mat DāñTo abbū jī
tum bhī pahle bachche hī the ye mat bhūlo abbū jī
naT-khaT bhī mujh jaise hī the ye mat bhūlo abbū jī
jis din zid farmā.ī hogī daadā se aur daadī se
us din maar bhī khaa.ī hogī daadā se aur daadī se
bachpan naam sharārat kā hai tum bhī samjho abbū jī
yuuñ mat DāñTo abbū jī
itna kyun naraaz ho mujh par yun mat DanTo abbu ji
main hun nanha munna bachcha itna jaano abbu ji
yun mat DanTo abbu ji
tum bhi pahle bachche hi the ye mat bhulo abbu ji
naT-khaT bhi mujh jaise hi the ye mat bhulo abbu ji
jis din zid farmai hogi dada se aur dadi se
us din mar bhi khai hogi dada se aur dadi se
bachpan nam shararat ka hai tum bhi samjho abbu ji
yun mat DanTo abbu ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.