jawan beTi se bap ka KHitab
mirī beTī mirī jānāñ
tumheñ sab yaad to hogā
bahut pahle bahut pahle
javānī kā thā jab aalam
mire baazū meñ tāqat thī
mire siine meñ himmat thī
unheñ ayyām meñ ik din
mirī āġhosh-e-ulfat meñ
kisī ne lā ke rakkhā thā
tumhārā phuul sā chehra
badan be-intihā nāzuk
mire in saḳht hāthoñ meñ
ajab narmī sī aa.ī thī
mirī is aañkh ne bū se liye the aur roī thī
mujhe to yaad hai sab kuchh
tumheñ bhī yaad to hogā
na.e kapḌe khilaune duudh kī botal ḳharīdī thī
bahut bechain hotā thā jo tum rātoñ ko rotī thiiñ
chalī thiiñ apne pairoñ par jo tum pahle-pahal beTā
mujhe aisā lagā thā chal paḌī dil kī mire dhaḌkan
qadam do chaar le kar tum jo ik-dam laḌkhaḌā.ī thiiñ
mirī sāñseñ mire siine ke andar thartharā.ī thiiñ
mirī godī meñ rafta rafta din guzrā kiye aur tum
na jaane sote sote mere siine par javānī tak
mirī jaañ aaj aa.ī ho
tumheñ mujh se shikāyat hai
ki maiñ ne saḳhtiyāñ kī haiñ
mirī vo saḳhtiyāñ tum ko bahut ranjūr kartī thiiñ
mujhe bhī rañj hotā thā
magar thī tarbiyat lāzim
tumheñ sāñche meñ Dhalnā thā
tabī.at ko badalnā thā
tumheñ sab yaad to hogā
mirī beTī mire baazū meñ vo quvvat nahīñ baaqī
tumhārī har ḳhushī kī haiñ zamānat dhaḌkaneñ merī
magar ik mashvara sun lo
ki ab sab bhuul jaao tum
na.e rishte banāo tum
hamārā saath chhūTegā
na.e rishtoñ ke merī jaañ masā.il kam nahīñ hoge
magar tab ham nahīñ hoñge
akelī jaan hogī tum
faqat vo tarbiyat hogī
jo maiñ ne saḳhtiyāñ kar ke
tumhāre dil meñ Daalī hai
vo tum ko yaad to hogī
sabaq sab yaad to hogā
meri beTi meri jaanan
tumhein sab yaad to hoga
bahut pahle bahut pahle
jawani ka tha jab aalam
mere bazu mein taqat thi
mere sine mein himmat thi
unhen ayyam mein ek din
meri aaghosh-e-ulfat mein
kisi ne la ke rakkha tha
tumhaara phul sa chehra
badan be-intiha nazuk
mere in saKHt hathon mein
ajab narmi si aai thi
meri is aankh ne bu se liye the aur roi thi
mujhe to yaad hai sab kuchh
tumhein bhi yaad to hoga
nae kapDe khilaune dudh ki botal KHaridi thi
bahut bechain hota tha jo tum raaton ko roti thin
chali thin apne pairon par jo tum pahle-pahal beTa
mujhe aisa laga tha chal paDi dil ki mere dhaDkan
qadam do chaar le kar tum jo ik-dam laDkhaDai thin
meri sansen mere sine ke andar thartharai thin
meri godi mein rafta rafta din guzra kiye aur tum
na jaane sote sote mere sine par jawani tak
meri jaan aaj aai ho
tumhein mujh se shikayat hai
ki main ne saKHtiyan ki hain
meri wo saKHtiyan tum ko bahut ranjur karti thin
mujhe bhi ranj hota tha
magar thi tarbiyat lazim
tumhein sanche mein Dhalna tha
tabiat ko badalna tha
tumhein sab yaad to hoga
meri beTi mere bazu mein wo quwwat nahin baqi
tumhaari har KHushi ki hain zamanat dhaDkanen meri
magar ek mashwara sun lo
ki ab sab bhul jao tum
nae rishte banao tum
hamara sath chhuTega
nae rishton ke meri jaan masail kam nahin hoge
magar tab hum nahin honge
akeli jaan hogi tum
faqat wo tarbiyat hogi
jo main ne saKHtiyan kar ke
tumhaare dil mein Dali hai
wo tum ko yaad to hogi
sabaq sab yaad to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.