mohabbat ki intiha par
paapā
tum mar jaao na paapā
maiñ tum se nafrat kartā huuñ
kash tum lete ho khāñsī mujh ko aatī hai
dil ke daure tumheñ nahīñ
mujh ko paḌte haiñ
āḳhir kab tak
raat meñ uTh kar
light jalā kar
dekhūñgā maiñ saañs tumhārī
kab tak merī teacher
mujh ko Tokegī
gum-sum rahne par
kaise batlā.ūñ
maiñ kitnā Dar jaatā huuñ
jab merī rickshaw muḌtī hai
ghar vaale raste par
aaj bhī kam bechain nahīñ maiñ
moḌ vo bas aane vaalā hai
chain paḌ gayā
aaj bhī mere ghar ke aage bhiiḌ nahīñ hai
yaanī
aaj bhī shāyad sab kuchh Thiik hai ghar meñ
yaanī tum zinda ho paapā
papa
tum mar jao na papa
main tum se nafrat karta hun
kash tum lete ho khansi mujh ko aati hai
dil ke daure tumhein nahin
mujh ko paDte hain
aaKHir kab tak
raat mein uTh kar
light jala kar
dekhunga main sans tumhaari
kab tak meri teacher
mujh ko Tokegi
gum-sum rahne par
kaise batlaun
main kitna Dar jata hun
jab meri rickshaw muDti hai
ghar wale raste par
aaj bhi kam bechain nahin main
moD wo bas aane wala hai
chain paD gaya
aaj bhi mere ghar ke aage bhiD nahin hai
yani
aaj bhi shayad sab kuchh Thik hai ghar mein
yani tum zinda ho papa
- Book : Khidki To Main Ne Khol Hi Li (Pg. 147)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.