walid ke intiqal par
vo chālīs rātoñ se soyā na thā
vo ḳhvāboñ ko ūñToñ pe laade hue
raat ke regzāroñ meñ chaltā rahā
chāndnī kī chitāoñ meñ jaltā rahā
mez par
kāñch ke ik pyāle meñ rakkhe hue
daañt hañste rahe
kaalī ainak ke shīshoñ ke pīchhe se phir
motiye kī kalī sar uThāne lagī
aañkh meñ tīrgī muskurāne lagī
ruuh kā haath
chhalnī huā suuī kī nok se
ḳhvāhishoñ ke diye
jism meñ bujh ga.e
sabz paanī kī sayyāl parchhā.iyāñ
lamha lamha band meñ utarne lagīñ
ghar kī chhat meñ jaḌe
das sitāroñ ke sāyoñ tale
aks dhundlā ga.e
aks murjhā ga.e
On the Passing of My Father
wo chaalis raaton se soya na tha
wo KHwabon ko unTon pe lade hue
raat ke regzaron mein chalta raha
chandni ki chitaon mein jalta raha
mez par
kanch ke ek pyale mein rakkhe hue
dant hanste rahe
kali ainak ke shishon ke pichhe se phir
motiye ki kali sar uThane lagi
aankh mein tirgi muskurane lagi
ruh ka hath
chhalni hua sui ki nok se
KHwahishon ke diye
jism mein bujh gae
sabz pani ki sayyal parchhaiyan
lamha lamha band mein utarne lagin
ghar ki chhat mein jaDe
das sitaron ke sayon tale
aks dhundla gae
aks murjha gae
On the Passing of My Father
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.