Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

safar

āvāzeñ raat ḳhāmoshī meñ ojhal hone sandesa laa.ī haiñ

chāñd ke aadhe TukḌe par kuchh ḳhvāboñ tadfīn huī hai

ghaḌe paanī qatra-qatra Dol rahā hai

dīvāroñ miTTī meñ barsoñ se gūñdhī kuchh poroñ lams achānak

qalb-kade meñ chīḳh paḌā hai

raat ke kaale tave par vahshat roTī pakne ko tayyār paḌī hai

ghaḌī dīmak saañs nādīda darvāza chaaT rahī hai

maiñ yādoñ taḳhtī le kar

us par apne ghaghū ghoḌe

pariyāñ jugnū titlī guḌiyā bañTe mor ke par bosoñ toffē

aur harfoñ paak sahīfa

tasvīroñ meñ Dhaal rahā huuñ

kal aur aaj ke saare raste chal aayā huuñ

tanhā.ī ke chaurāhe par aan khaḌā huuñ

chāroñ jānib ashkoñ ik barf jamī hai

saañs thamī hai

aur mere hāthoñ se jaise

būḌhī uñglī chhūT rahī hai

aawazen raat ki KHamoshi mein ojhal hone ka sandesa lai hain

chand ke aadhe TukDe par kuchh KHwabon ki tadfin hui hai

ghaDe ka pani qatra-qatra Dol raha hai

diwaron ki miTTi mein barson se gundhi kuchh poron ka lams achanak

qalb-kade mein chiKH paDa hai

raat ke kale tawe par wahshat ki roTi pakne ko tayyar paDi hai

ghaDi ki dimak sans ka nadida darwaza chaT rahi hai

main yaadon ki taKHti le kar

us par apne ghaghu ghoDe

pariyan jugnu titli guDiya banTe mor ke par boson ki toffee

aur harfon ka pak sahifa

taswiron mein Dhaal raha hun

kal aur aaj ke sare raste chal aaya hun

tanhai ke chaurahe par aan khaDa hun

chaaron jaanib ashkon ki ek barf jami hai

sans thami hai

aur mere hathon se jaise

buDhi ungli chhuT rahi hai

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now