mohabbat dard deti hai
maiñ hamesha sochtī thī
aañsū aur dard
hameñ nafratoñ se hī milte haiñ
agar nafrateñ na hoñ
to ye aañsū bhī na hoñ
aur dard bhī na ho
magar jab
us kī mohabbat kā
chāhat kā
aur e.atibār kā mausam biitā
tab āñkheñ khulīñ
ehsās huā
ki dard sirf nafratoñ meñ hī
nahīñ hotā
mohabbat bhī insān ko
sarāpā dard banā detī hai
mohabbat dard detī hai
main hamesha sochti thi
aansu aur dard
hamein nafraton se hi milte hain
agar nafraten na hon
to ye aansu bhi na hon
aur dard bhi na ho
magar jab
us ki mohabbat ka
chahat ka
aur eatibar ka mausam bita
tab aankhen khulin
ehsas hua
ki dard sirf nafraton mein hi
nahin hota
mohabbat bhi insan ko
sarapa dard bana deti hai
mohabbat dard deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.