ye rāmāyan
jo hindustān kī rag rag meñ shāmil hai
jise ik bālmīkī naam ke shā.ir ne likkhā thā
bahut hī ḳhūbsūrat ek epic hai
fasāna-dar-fasāna baat koī munjamid hai
emotion qaid haiñ lākhoñ tarah ke
ka.ī kirdār haiñ jo sāhab-e-kirdār lagte haiñ
magar ik baat hai
jo muddatoñ se mujh ko khaltī hai
ki afsāne meñ
sab ke dard-o-ġham kā zikr miltā hai
magar vo ek laḌkī
phuul se bhī sau gunā nāzuk
jo siitā kī bahan thī
aur jis kī maañg meñ sindūr bharte vaqt hī
shrī raam ke bhaa.ī lakhan ne
aag kī maujūdgī meñ ye kahā thā
maiñ tum se zindagī-bhar ishq farmāyā karūñgā
aur saa.e kī tarah hī saath meñ har-dam rahūñgā
jo laḌkī ek pal meñ
saat janmoñ ke liye biivī lakhan kī ho ga.ī thī
vahī laḌkī
jise sab urmilā kah kar bulāte the
jo apne baap ke siine se lag kar vaqt-e-ruḳhsat ḳhuub roī
us ke ashkoñ se
fasāne kā koī hissa kahīñ bhīgā nahīñ hai
aur us ke dard kī koī nishānī tak nahīñ miltī
magar sach hai
ki rāmāyan meñ vaisā ġham-zada kirdār koī bhī nahīñ miltā
maiñ us kirdār se ḳhāsā muta.assir huuñ
ki jab chaudah baras ke vāste shrī-rām ko ban-vās jaanā thā
āmāda the lakhan bhī bhaa.ī kī sevā meñ jaane ko
zarā sā bhī nahīñ sochā
ki jis laḌkī se puurī zindagī kā rabt joḌā hai
ki jis ne ḳhūbsūrat nain meñ kuchh ḳhvāb bo.e haiñ
use kis ke sahāre chhoḌ kar vo jā rahe haiñ
magar vo urmilā ko chhoḌ kar bhaa.ī ke pīchhe chal paḌe
koī taḌaptī aarzū sī
urmilā ke hoñTh se gir kar
ka.ī TukḌoñ meñ nīche farsh par bikhrī huī thī
zor se āvāz nannhī phaḌphaḌā.ī
aur zaḳhmī ho gayā thā pyaar kā vo ek dāman
jo kabhī phūloñ kī ḳhushbū meñ bhigoyā thā
mahz kāñTe hī kāñTe har taraf the
ik imārat banñe se pahle hī TuuTī thī
to ya.anī urmilā chaudah baras tak
ḳhalvatoñ ke mausamoñ se roz laḌtī thī
sahelī saath thī
lekin sabhī ḳhushiyoñ ko vo ignore kartī thī
tamannā.eñ agar bādal kī tarah ghirne lagtī thiiñ
tamannāoñ kī bārish meñ nahāne se vo bachtī thī
churā letī thī vo āñkheñ
agar ġhalatī se koī aa.ina tārīf kar detā
havā.eñ jism meñ us ke agar siharan jagā detīñ
to ḳhud ko apnī hī bāñhoñ meñ bhar kar
ḳhud se ye kahtī
lakhan ā.eñge jaldī maan bhī jaao bahāroñ
aur so jaao sitāroñ tum
ki mujh ko raat din jagne kī aadat ho ga.ī hai
aur mohabbat ke liye ye umr kī daulat paḌī hai
magar jab ḳhvāhishoñ ke bāñdh aksar TūTte hoñge
to phir sailāb meñ
kyā kyā na bah kar kho gayā hogā
hazāroñ adh-khile armān bhī murjhā ga.e hoñge
tabassum ne
kisī pal Das liyā hogā laboñ ko gar
to saarā zahar mauqa dekh kar
us ke badan meñ raqs kartā phir rahā hogā
kabhī koyal kī kaalī kuuk gar kānoñ meñ pahuñchī ho
to shiryānoñ meñ bahtā ḳhuun saarā jam gayā hogā
parā.e mard kā koī tasavvur chhūne se pahle
vo laḌkī Dar ga.ī hogī
achānak mar ga.ī hogī
ye ramayan
jo hindustan ki rag rag mein shamil hai
jise ek baalmiki nam ke shair ne likkha tha
bahut hi KHubsurat ek epic hai
fasana-dar-fasana baat koi munjamid hai
emotion qaid hain lakhon tarah ke
kai kirdar hain jo sahab-e-kirdar lagte hain
magar ek baat hai
jo muddaton se mujh ko khalti hai
ki afsane mein
sab ke dard-o-gham ka zikr milta hai
magar wo ek laDki
phul se bhi sau guna nazuk
jo sita ki bahan thi
aur jis ki mang mein sindur bharte waqt hi
shri ram ke bhai lakhan ne
aag ki maujudgi mein ye kaha tha
main tum se zindagi-bhar ishq farmaya karunga
aur sae ki tarah hi sath mein har-dam rahunga
jo laDki ek pal mein
sat janmon ke liye biwi lakhan ki ho gai thi
wahi laDki
jise sab urmila kah kar bulate the
jo apne bap ke sine se lag kar waqt-e-ruKHsat KHub roi
us ke ashkon se
fasane ka koi hissa kahin bhiga nahin hai
aur us ke dard ki koi nishani tak nahin milti
magar sach hai
ki ramayan mein waisa gham-zada kirdar koi bhi nahin milta
main us kirdar se KHasa mutassir hun
ki jab chaudah baras ke waste shri-ram ko ban-was jaana tha
aamada the lakhan bhi bhai ki sewa mein jaane ko
zara sa bhi nahin socha
ki jis laDki se puri zindagi ka rabt joDa hai
ki jis ne KHubsurat nain mein kuchh KHwab boe hain
use kis ke sahaare chhoD kar wo ja rahe hain
magar wo urmila ko chhoD kar bhai ke pichhe chal paDe
koi taDapti aarzu si
urmila ke honTh se gir kar
kai TukDon mein niche farsh par bikhri hui thi
zor se aawaz nannhi phaDphaDai
aur zaKHmi ho gaya tha pyar ka wo ek daman
jo kabhi phulon ki KHushbu mein bhigoya tha
mahz kanTe hi kanTe har taraf the
ek imarat banne se pahle hi TuTi thi
to yani urmila chaudah baras tak
KHalwaton ke mausamon se roz laDti thi
saheli sath thi
lekin sabhi KHushiyon ko wo ignore karti thi
tamannaen agar baadal ki tarah ghirne lagti thin
tamannaon ki barish mein nahane se wo bachti thi
chura leti thi wo aankhen
agar ghalati se koi aaina tarif kar deta
hawaen jism mein us ke agar siharan jaga detin
to KHud ko apni hi banhon mein bhar kar
KHud se ye kahti
lakhan aaenge jaldi man bhi jao bahaaron
aur so jao sitaron tum
ki mujh ko raat din jagne ki aadat ho gai hai
aur mohabbat ke liye ye umr ki daulat paDi hai
magar jab KHwahishon ke bandh aksar TuTte honge
to phir sailab mein
kya kya na bah kar kho gaya hoga
hazaron adh-khile arman bhi murjha gae honge
tabassum ne
kisi pal Das liya hoga labon ko gar
to sara zahar mauqa dekh kar
us ke badan mein raqs karta phir raha hoga
kabhi koyal ki kali kuk gar kanon mein pahunchi ho
to shiryanon mein bahta KHun sara jam gaya hoga
parae mard ka koi tasawwur chhune se pahle
wo laDki Dar gai hogi
achanak mar gai hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.