asli rup
maiñ dekh rahā huuñ patte ke
hāthoñ par jaal lakīroñ kā
maiñ dekh rahā huuñ patte kī
āñkhoñ meñ shabnam ke aañsū
maiñ dekh rahā huuñ patte kī
rag rag meñ taḌaptā sabz lahū
maiñ dekh rahā huuñ patte ke
chehre pe nadāmat ke qatre
ma.alūm nahīñ lekin mujh ko
in rūpoñ meñ se kaun sā hai
patte kā apnā aslī ruup
main dekh raha hun patte ke
hathon par jal lakiron ka
main dekh raha hun patte ki
aankhon mein shabnam ke aansu
main dekh raha hun patte ki
rag rag mein taDapta sabz lahu
main dekh raha hun patte ke
chehre pe nadamat ke qatre
malum nahin lekin mujh ko
in rupon mein se kaun sa hai
patte ka apna asli rup
- Book : Zehrab (Pg. 31)
- Author : Fakhrezaman
- Publication : Idarah Eshat-e-adab, Gujrat (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.