Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aurat aur namak

Sara Shagufta

aurat aur namak

Sara Shagufta

MORE BYSara Shagufta

    izzat bahut qismeñ haiñ

    ghūñghaT thappaḌ gandum

    izzat ke tābūt meñ qaid meḳheñ Thoñkī ga.ī haiñ

    ghar se le kar fōtpath tak hamārā nahīñ

    izzat hamāre guzāre baat hai

    izzat ke neze se hameñ dāġhā jaatā hai

    izzat kanī hamārī zabān se shurūa hotī hai

    koī raat hamārā namak chakh le

    to ek zindagī hameñ be-zā.iqa roTī kahā jaatā hai

    ye kaisā bāzār hai

    ki rañg-sāz phīkā paḌā hai

    ḳhalā hathelī pe patañgeñ mar rahī haiñ

    maiñ qaid meñ bachche jantī huuñ

    jaa.ez aulād ke liye zamīn khilanDarī honī chāhiye

    tum Dar meñ bachche jantī ho isī liye aaj tumhārī koī nasl nahīñ

    tum jism ke ek band se pukārī jaatī ho

    tumhārī haisiyat meñ to chaal rakh ga.ī hai

    ek ḳhūbsūrat chaal

    chhoTī muskurāhaT tumhāre laboñ pe tarāsh ga.ī hai

    tum sadiyoñ se nahīñ roiiñ

    kyā maañ aisī hotī hai

    tumhāre bachche phīke kyoñ paḌe haiñ

    tum kis kumbe maañ ho

    reip qaid baTe hue jism

    īñToñ meñ chunī huī beTiyoñ

    bāzāroñ meñ tumhārī beTiyāñ

    apne lahū se bhuuk gūñdhtī haiñ

    aur apnā gosht khātī haiñ

    ye tumhārī kaun āñkheñ haiñ

    ye tumhāre ghar dīvār kaun chinā.ī hai

    tum ne merī hañsī meñ ta.āruf rakkhā

    aur apne beTe naam sikka-e-rā.ij-ul-vaqt

    aaj tumhārī beTī apnī beTiyoñ se kahtī hai

    maiñ apnī beTī zabān dāġhūñgī

    lahū thūktī aurat dhaat nahīñ

    chūḌiyoñ chor nahīñ

    maidān merā hausla hai

    añgāra merī ḳhvāhish

    ham sar pe kafan bāñdh kar paidā hue haiñ

    koī añgūThī pahan kar nahīñ

    jise tum chorī kar loge

    izzat ki bahut si qismen hain

    ghunghaT thappaD gandum

    izzat ke tabut mein qaid ki meKHen Thonki gai hain

    ghar se le kar footpath tak hamara nahin

    izzat hamare guzare ki baat hai

    izzat ke neze se hamein dagha jata hai

    izzat ki kani hamari zaban se shurua hoti hai

    koi raat hamara namak chakh le

    to ek zindagi hamein be-zaiqa roTi kaha jata hai

    ye kaisa bazar hai

    ki rang-saz hi phika paDa hai

    KHala ki hatheli pe patangen mar rahi hain

    main qaid mein bachche janti hun

    jaez aulad ke liye zamin khilanDari honi chahiye

    tum Dar mein bachche janti ho isi liye aaj tumhaari koi nasl nahin

    tum jism ke ek band se pukari jati ho

    tumhaari haisiyat mein to chaal rakh di gai hai

    ek KHubsurat chaal

    chhoTi muskurahaT tumhaare labon pe tarash di gai hai

    tum sadiyon se nahin roin

    kya man aisi hoti hai

    tumhaare bachche phike kyon paDe hain

    tum kis kumbe ki man ho

    reip ki qaid ki baTe hue jism ki

    ya inTon mein chuni hui beTiyon ki

    bazaron mein tumhaari beTiyan

    apne lahu se bhuk gundhti hain

    aur apna gosht khati hain

    ye tumhaari kaun si aankhen hain

    ye tumhaare ghar ki diwar ki kaun si chinai hai

    tum ne meri hansi mein taaruf rakkha

    aur apne beTe ka nam sikka-e-raij-ul-waqt

    aaj tumhaari beTi apni beTiyon se kahti hai

    main apni beTi ki zaban daghungi

    lahu thukti aurat dhat nahin

    chuDiyon ki chor nahin

    maidan mera hausla hai

    angara meri KHwahish

    hum sar pe kafan bandh kar paida hue hain

    koi anguThi pahan kar nahin

    jise tum chori kar loge

    Source:

    Aankhen (Pg. 50)

    • Author: Sara Shagufta
      • Publisher: Tashkeel Publishers, Karachi
      • Year of Publication: 1985

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now