Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nai aurat ka tarana

Bilqis Zafirul Hasan

nai aurat ka tarana

Bilqis Zafirul Hasan

MORE BYBilqis Zafirul Hasan

    Interesting Fact

    (After reading Kishwar Nahid's Nazm 'Charge sheet'

    haañ darvāze par chaḌhī kunDī utaar ga.ī hai

    magar darvāzoñ ko kholne ke liye

    ḳhud chal kar jaanā hogā

    āñkhoñ paTTī khol diye jaane par bhī

    bīnā.ī ko nigāh aadat dhīre dhīre paḌtī hai

    hoñToñ par lagī mohreñ haT jaane par bhī

    bolne ke liye zabān ko alfāz mashq karānī hotī hai

    āzād to dimāġh ko honā hai

    sirf jism āzādī koī ma.anī nahīñ rakhtī

    sar chādar se apnī barahnagī apne hāthoñ Dhaknī hogī

    sar par taaj hai aur pairoñ meñ beḌiyāñ

    kyā ajiib nahīñ lagtā

    zinā se le kar aadhī gavāhī tak

    be-shak ye charge-shēt bahut lambī hai

    lekin mujhe is ke baare meñ sochne

    na fursat hai na zarūrat

    vaise bhī ye charge-shēt merī adam-maujūdgī meñ tayyār ga.ī thī

    dushnām mile in.aam mujhe is se koī farq nahīñ paḌtā

    mujhe to apne āzād hāthoñ se apne pairoñ beḌiyāñ haTā kar

    is malgaje añdhere ko apnī palkoñ se baTor kar

    kināre lagānā hai

    darvāze tak jaanā hai

    ki in band paTToñ se bāhar ek khulī fazā

    merā intizār kar rahī hai

    jahāñ maiñ kam-az-kam āzādī se saañs to le sakūñgī

    haañ maiñ shahr meñ dāḳhil hone vaalī pahlī aurat huuñ

    kahīñ bhī pahuñchne ke liye uThāyā huā

    pahlā qadam

    han darwaze par chaDhi kunDi utar li gai hai

    magar darwazon ko kholne ke liye

    KHud hi chal kar jaana hoga

    aankhon ki paTTi khol diye jaane par bhi

    binai ko nigah ki aadat dhire dhire hi paDti hai

    honTon par lagi mohren haT jaane par bhi

    bolne ke liye zaban ko alfaz ki mashq karani hoti hai

    aazad to dimagh ko hona hai

    sirf jism ki aazadi koi mani nahin rakhti

    sar ki chadar se apni barahnagi apne hathon Dhakni hogi

    sar par taj hai aur pairon mein beDiyan

    kya ajib nahin lagta

    zina se le kar aadhi gawahi tak

    be-shak ye charge-sheet bahut lambi hai

    lekin mujhe is ke bare mein sochne ki

    na fursat hai na zarurat

    waise bhi ye charge-sheet meri adam-maujudgi mein tayyar ki gai thi

    dushnam mile ya inam mujhe is se koi farq nahin paDta

    mujhe to apne aazad hathon se apne pairon ki beDiyan haTa kar

    is malgaje andhere ko apni palkon se baTor kar

    kinare lagana hai

    darwaze tak jaana hai

    ki in band paTTon se bahar ek khuli faza

    mera intizar kar rahi hai

    jahan main kam-az-kam aazadi se sans to le sakungi

    han main shahr mein daKHil hone wali pahli aurat hun

    kahin bhi pahunchne ke liye uThaya hua

    pahla qadam

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now