Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id ka manzar

Ameen Hazin

id ka manzar

Ameen Hazin

hilāl-e-īd banā hai kalīdī-e-aish-o-nashāt

jahāñ meñ bichh ga.ī phir se masarratoñ bisāt

ḳhushī se phūle samāte nahīñ haiñ mard-o-zan

mahak uThe dar-o-dīvār aur sehn-e-chaman

galī meñ kūchoñ meñ rāhoñ meñ shāh-rāhoñ meñ

masarratoñ ke nazāre haiñ ḳhānqāhoñ meñ

añdhere muñh parinde bhī chahchahāne lage

qadam qadam pe lage mele shādyāne baje

hai kaif-o-mastī ke aalam meñ aaj pīr-o-javāñ

ibādatoñ nasha de gayā mah-e-ramazāñ

ḳhudā ke diin kis tarah ho bayān huzūr

ḳhudā har ik ko ḳhushī iid nasīb kare

hamārī nasl ko is diin se qarīb kare

hilal-e-id bana hai kalidi-e-aish-o-nashat

jahan mein bichh gai phir se masarraton ki bisat

KHushi se phule samate nahin hain mard-o-zan

mahak uThe dar-o-diwar aur sehn-e-chaman

gali mein kuchon mein rahon mein shah-rahon mein

masarraton ke nazare hain KHanqahon mein

andhere munh hi parinde bhi chahchahane lage

qadam qadam pe lage mele shadyane baje

hai kaif-o-masti ke aalam mein aaj pir-o-jawan

ibaadaton ka nasha de gaya mah-e-ramazan

KHuda ke din ka kis tarah ho bayan huzur

KHuda har ek ko KHushi id ki nasib kare

hamari nasl ko is din se qarib kare

Source :
  • Book : kulliyat-e-Ameen-E-Hazeen (Pg. 71)
  • Author : Ameen Hazin
  • Publication : Sani Publication 390,Nana Peth,Pune-2 (2005)
  • Edition : 2005

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now