id ke din
riyāz-e-shauq meñ aa.ī bahār iid ke din
nazar-faroz huā rū-e-yār iid ke din
adā adā meñ ināyat nazar nazar meñ karam
mirī ḳhizāñ bhī hai ab tak bahār iid ke din
haiñ un ke jalvoñ kī arzāniyāñ payām-e-nashāt
nahīñ hai dil meñ ġham-e-rozgār iid ke din
dil-e-fasurda meñ phir ḳhūn-e-sarḳhushī dauḌā
vo aa ke mujh se hue ham-kanār iid ke din
nigāh-e-shauq pe parvāna-vār girtī haiñ
tajalliyāñ bhī haiñ be-iḳhtiyār iid ke din
na un kī āñkhoñ meñ ġhussa na kuchh jabīñ pe shikan
baras rahā hai nigāhoñ se pyaar iid ke din
nigāh-e-mehr kī garmī hai raushnī dil kī
hai bazm-e-shauq mirī kāmgār iid ke din
vo fart-e-shauq meñ hañs hañs ke mil rahe haiñ gale
hai shaad 'jauhar'-e-sīna-figār iid ke din
riyaz-e-shauq mein aai bahaar id ke din
nazar-faroz hua ru-e-yar id ke din
ada ada mein inayat nazar nazar mein karam
meri KHizan bhi hai ab tak bahaar id ke din
hain un ke jalwon ki arzaniyan payam-e-nashat
nahin hai dil mein gham-e-rozgar id ke din
dil-e-fasurda mein phir KHun-e-sarKHushi dauDa
wo aa ke mujh se hue ham-kanar id ke din
nigah-e-shauq pe parwana-war girti hain
tajalliyan bhi hain be-iKHtiyar id ke din
na un ki aankhon mein ghussa na kuchh jabin pe shikan
baras raha hai nigahon se pyar id ke din
nigah-e-mehr ki garmi hai raushni dil ki
hai bazm-e-shauq meri kaamgar id ke din
wo fart-e-shauq mein hans hans ke mil rahe hain gale
hai shad 'jauhar'-e-sina-figar id ke din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.