fikr
nahīñ har chand kisī gum-shuda jannat kī talāsh
ik na ik ḳhuld-e-tarab-nāk kā armāñ hai zarūr
bazm-e-doshamba kī hasrat to nahīñ hai mujh ko
merī nazroñ meñ koī aur shabistāñ hai zarūr
miT ke barbād-e-jahāñ ho ke sabhī kuchh kho ke
baat kyā hai ki ziyāñ kā koī ehsās nahīñ
kār-farmā hai koī taaza junūn-e-ta.amīr
dil-e-muztar abhī amāg-gah-e-yās nahīñ
tāza-dam bhī huuñ magar phir ye taqāzā kyuuñ hai
haath rakh de mire māthe pe koī zohra-jabīñ
ek āġhosh-e-hasīñ shauq kī merāj hai kyā
kyā yahī hai asar-e-nāla-e-dil-hā-e-hazīñ
mah-vashoñ kā tarab-añgez tabassum kyā hai
hai to sab kuchh ye magar ḳhvāb asar kyuuñ ho jaa.e
husn kī jalva-gah-e-nāz kā afsūñ taslīm
yahī qurbāñ-gah-e-arbāb-e-nazar kyuuñ ho jaa.e
maiñ ne sochā thā ki dushvār hai manzil apnī
ik hasīñ bāzu-e-sīmīñ kā sahārā bhī to hai
dasht-e-zulmāt se āḳhir ko guzarnā hai mujhe
koī raḳhshanda o tābinda sitāra bhī to hai
aag ko kis ne gulistāñ na banānā chāhā
jal bujhe kitne ḳhalīl aag gulistāñ na banī
TuuT jaanā dar-e-zindāñ kā to dushvār na thā
ḳhud zuleḳhā hī rafīq-e-mah-e-kan.āñ na banī
ba-īñ in.ām-e-vafā uf ye taqāza-e-hayāt
zindagī vaqf-e-ġham-e-ḳhāk-nashīnañ kar de
ḳhūn-e-dil kī koī qīmat jo nahīñ hai to na ho
ḳhūn-e-dil nazr-e-chaman-bandi-e-daurāñ kar de
nahin har chand kisi gum-shuda jannat ki talash
ek na ek KHuld-e-tarab-nak ka arman hai zarur
bazm-e-doshamba ki hasrat to nahin hai mujh ko
meri nazron mein koi aur shabistan hai zarur
miT ke barbaad-e-jahan ho ke sabhi kuchh kho ke
baat kya hai ki ziyan ka koi ehsas nahin
kar-farma hai koi taza junun-e-tamir
dil-e-muztar abhi amag-gah-e-yas nahin
taza-dam bhi hun magar phir ye taqaza kyun hai
hath rakh de mere mathe pe koi zohra-jabin
ek aaghosh-e-hasin shauq ki meraj hai kya
kya yahi hai asar-e-nala-e-dil-ha-e-hazin
mah-washon ka tarab-angez tabassum kya hai
hai to sab kuchh ye magar KHwab asar kyun ho jae
husn ki jalwa-gah-e-naz ka afsun taslim
yahi qurban-gah-e-arbab-e-nazar kyun ho jae
main ne socha tha ki dushwar hai manzil apni
ek hasin bazu-e-simin ka sahaara bhi to hai
dasht-e-zulmat se aaKHir ko guzarna hai mujhe
koi raKHshanda o tabinda sitara bhi to hai
aag ko kis ne gulistan na banana chaha
jal bujhe kitne KHalil aag gulistan na bani
TuT jaana dar-e-zindan ka to dushwar na tha
KHud zuleKHa hi rafiq-e-mah-e-kanan na bani
ba-in inam-e-wafa uf ye taqaza-e-hayat
zindagi waqf-e-gham-e-KHak-nashinan kar de
KHun-e-dil ki koi qimat jo nahin hai to na ho
KHun-e-dil nazr-e-chaman-bandi-e-dauran kar de
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 180)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.