flodniDedan
tirī ḳhāmosh-mohabbat ko na samjhā koī
be-zabānī tirī iz.hār banī thī jis kā
tire jazbāt tire ehsāsāt
kabhī shādābī se terī kabhī kumlāhaT se
āshkārā the magar koī na samjhā tirī baat
zindagī bhī tirī poshīda thī insānoñ se
phir bhī kuchh logoñ ne daulat ke liye naal samajh kar tujh se
drawing-rōm apne sajā rakkhe haiñ
martabānoñ meñ tavajjoh se lagāyā hai tujhe
kitnī yak-tarfa rahī hai tirī chaah
lekin is daur meñ kuchh log zabāñ-dāñ haiñ tire
mil gayā hai tirī ḳhāmosh mohabbat ko javāb
der hī se sahī insān kā dil jaagā hai
aaj bhī rañj meñ rāhat meñ hai tū us kī sharīk
us kā ġham rakhtā hai afsurda tujhe
aur ḳhushiyāñ tujhe sarsabz banā detī haiñ
lekin ab bhī bahut aise haiñ nahīñ jin ko ḳhabar
un pe jo bīt.tī hai tujh pe guzar jaatī hai
raas be-mehrī-e-insāñ tujhe kab aatī hai
rañj kī aañch se tū suukh ke rah jaatī hai
teri KHamosh-mohabbat ko na samjha koi
be-zabani teri izhaar bani thi jis ka
tere jazbaat tere ehsasat
kabhi shadabi se teri kabhi kumlahaT se
aashkara the magar koi na samjha teri baat
zindagi bhi teri poshida thi insanon se
phir bhi kuchh logon ne daulat ke liye nal samajh kar tujh se
drawing-room apne saja rakkhe hain
martabanon mein tawajjoh se lagaya hai tujhe
kitni yak-tarfa rahi hai teri chah
lekin is daur mein kuchh log zaban-dan hain tere
mil gaya hai teri KHamosh mohabbat ko jawab
der hi se sahi insan ka dil jaga hai
aaj bhi ranj mein rahat mein hai tu us ki sharik
us ka gham rakhta hai afsurda tujhe
aur KHushiyan tujhe sarsabz bana deti hain
lekin ab bhi bahut aise hain nahin jin ko KHabar
un pe jo bitti hai tujh pe guzar jati hai
ras be-mehri-e-insan tujhe kab aati hai
ranj ki aanch se tu sukh ke rah jati hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 108)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.