frizer mein rakkhi sham
tum ne
merī ruuh ko
ik kaale tābūt meñ rakh kar
kīleñ Thokīñ
jism ko lekin chhoḌ diyā
ghanī raat ke jañgal meñ so jaane ko
aur maiñ tan ke TukḌe kar ke
lafzoñ ke sandūq meñ bhar kar
biite dinoñ ke frēzer meñ rakh aayā huuñ
jab tum apnī guzrī shāmoñ ke paT khologī
Dar jāogī
tum ne
meri ruh ko
ek kale tabut mein rakh kar
kilen Thokin
jism ko lekin chhoD diya
ghani raat ke jangal mein so jaane ko
aur main tan ke TukDe kar ke
lafzon ke sanduq mein bhar kar
bite dinon ke freezer mein rakh aaya hun
jab tum apni guzri shamon ke paT khologi
Dar jaogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.