ghaalib
ġhālib ke fikr-o-fan kī zamāne meñ dhuum hai
ġhālib hai aur ahl-e-nazar kā hujūm hai
mehr-o-mah-o-nujūm bhī be-shak buland haiñ
ġhālib buland az-mah-o-mehr-o-nujūm hai
allāh re ye ālam-e-nairangī-e-ḳhayāl
mauj-e-nasīm hai kabhī bād-e-sumūm hai
ġhavvās-e-fikr ke liye ġhālib kī shā.erī
ik bahr-e-be-kanār-e-funūn-o-ulūm hai
ġhālib-parast kuchh haiñ to ġhālib-shikan bhī kuchh
ahl-e-jahāñ kī riit yahī bil-umūm hai
ghaalib ke fikr-o-fan ki zamane mein dhum hai
ghaalib hai aur ahl-e-nazar ka hujum hai
mehr-o-mah-o-nujum bhi be-shak buland hain
ghaalib buland az-mah-o-mehr-o-nujum hai
allah re ye aalam-e-nairangi-e-KHayal
mauj-e-nasim hai kabhi baad-e-sumum hai
ghawwas-e-fikr ke liye ghaalib ki shaeri
ek bahr-e-be-kanar-e-funun-o-ulum hai
ghaalib-parast kuchh hain to ghaalib-shikan bhi kuchh
ahl-e-jahan ki rit yahi bil-umum hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.