ghaalib
shā.ir-e-hindostāñ ai shā.ir-e-jādū-bayāñ
hind ke ḳhum-ḳhāna-e-irfāñ ke ai pīr-e-muġhāñ
tere naġhmoñ meñ nashāt-e-zindagī kī hai mahak
kaif se gul kā tabassum zikr-e-dil husn-e-butāñ
tere naġhmoñ meñ dil-e-insāñ kā hai soz-o-gudāz
jin se aksar hai ibārat zindagī kī dāstāñ
hai ḳhayāl-o-fikr kī duniyā tire har lafz meñ
paikar-e-ash.ār hai kitnā hasīñ kitnā javāñ
terī nazroñ ne TaTolā is tarah insāñ kā dil
mere dil kā raaz mujh par hī kiyā tū ne ayaañ
zindagī insāñ kī hai terī nazar meñ ik qafas
jis meñ hai hadd-e-nazar tak tīliyāñ hī tīliyāñ
faiz se tere hī hai urdu kā ye husn-e-jamāl
tere baa.is hī banī vo raunaq-e-bazm-e-jahāñ
tere naġhmoñ ko kabhī bhī maut aa saktī nahīñ
lā-zavāl un kī kashish un kī bahāreñ jāvedāñ
tere ilm-o-fan kī shohrat kā maiñ aalam kyā kahūñ
jhuk gayā qadmoñ pe tere bā-adab saarā jahāñ
shair-e-hindostan ai shair-e-jadu-bayan
hind ke KHum-KHana-e-irfan ke ai pir-e-mughan
tere naghmon mein nashat-e-zindagi ki hai mahak
kaif se gul ka tabassum zikr-e-dil husn-e-butan
tere naghmon mein dil-e-insan ka hai soz-o-gudaz
jin se aksar hai ibarat zindagi ki dastan
hai KHayal-o-fikr ki duniya tere har lafz mein
paikar-e-ashaar hai kitna hasin kitna jawan
teri nazron ne TaTola is tarah insan ka dil
mere dil ka raaz mujh par hi kiya tu ne ayan
zindagi insan ki hai teri nazar mein ek qafas
jis mein hai hadd-e-nazar tak tiliyan hi tiliyan
faiz se tere hi hai urdu ka ye husn-e-jamal
tere bais hi bani wo raunaq-e-bazm-e-jahan
tere naghmon ko kabhi bhi maut aa sakti nahin
la-zawal un ki kashish un ki bahaaren jawedan
tere ilm-o-fan ki shohrat ka main aalam kya kahun
jhuk gaya qadmon pe tere ba-adab sara jahan
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 101)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.