ghaalib
Interesting Fact
(On the celebration of Ghalib's bicentenary)
tum ye kahte ho ki qaa.il nahīñ aslāf kā maiñ
sach hai ye daur bhī aslāf parastī kā nahīñ
aaj har jaam se labrez mai-e-hastī se
jām-e-dīroz meñ ye bāda-e-rañgīñ hai kahīñ
tum ne samjhā hī nahīñ falsafa-e-zīst hai kyā
kab maiñ kahtā huuñ ki jhuTlā do guzishta lamhe
maiñ ne to aur bhī chamkā.e haiñ maazī ke nuqūsh
gul kiye hoñge tumhīñ ne ga.e vaqtoñ ke diye
maiñ is aflās-zada daur se bach kar ai dost
likh nahīñ saktā kisī haal meñ bosīda adab
aur ye bhī nahīñ ho saktā ki maiñ pesh karūñ
be-tap-o-tāp-o-parāganda-o-zūlīda adab
kal jo thā tarz-e-jahāñ aaj kahāñ hai baaqī
saath de saktī nahīñ aaj kā vo rasm-e-kohan
kal to kuchh aur hī thī lauh-o-qalam kī duniyā
aaj kuchh aur hai dīvānoñ kā andāz-e-suḳhan
mere afkār pe kahte ho ki hai mohr lagī
'hāfiz'-o-'sādī' bhī haiñ ahd-e-guzishta ke adiib
tum hī batlāo ki martā hai kahīñ aisā adab
jo rahā ho ġham-e-hastī ġham-e-daurāñ ke qarīb
ishq aur husn ke afsānoñ meñ kyā rakkhā hai
sun ke un qissoñ ko bīmār nahīñ jī sakte
jis meñ sharbat ho faqat bāda-e-tiryāq na ho
aaj us jaam ko mai-ḳhvār nahīñ pī sakte
mere dil meñ bhī aqīdat kā diyā jaltā hai
ho 'zuhūrī'-o-'nazīrī' kī ho 'tālib' kā kalām
'keats' 'tagore' ki 'iqbāl' hoñ 'tulsī' hoñ ki 'mīr'
sab se 'ġhālib' ko judā rakhtā hai 'ġhālib' kā kalām
aaj bhī hazrat-e-ġhālib kā qalam zinda hai
us se miltā hai abhī jis kī zarūrat hai hameñ
aaj ke daur meñ bhī taaza haiñ afkār us ke
ye alag baat ki us se bhī kudūrat hai hameñ
tum ye kahte ho ki qail nahin aslaf ka main
sach hai ye daur bhi aslaf parasti ka nahin
aaj har jam se labrez mai-e-hasti se
jam-e-diroz mein ye baada-e-rangin hai kahin
tum ne samjha hi nahin falsafa-e-zist hai kya
kab main kahta hun ki jhuTla do guzishta lamhe
main ne to aur bhi chamkae hain mazi ke nuqush
gul kiye honge tumhin ne gae waqton ke diye
main is aflas-zada daur se bach kar ai dost
likh nahin sakta kisi haal mein bosida adab
aur ye bhi nahin ho sakta ki main pesh karun
be-tap-o-tap-o-paraganda-o-zulida adab
kal jo tha tarz-e-jahan aaj kahan hai baqi
sath de sakti nahin aaj ka wo rasm-e-kohan
kal to kuchh aur hi thi lauh-o-qalam ki duniya
aaj kuchh aur hai diwanon ka andaz-e-suKHan
mere afkar pe kahte ho ki hai mohr lagi
'hafiz'-o-'sadi' bhi hain ahd-e-guzishta ke adib
tum hi batlao ki marta hai kahin aisa adab
jo raha ho gham-e-hasti gham-e-dauran ke qarib
ishq aur husn ke afsanon mein kya rakkha hai
sun ke un qisson ko bimar nahin ji sakte
jis mein sharbat ho faqat baada-e-tiryaq na ho
aaj us jam ko mai-KHwar nahin pi sakte
mere dil mein bhi aqidat ka diya jalta hai
ho 'zuhuri'-o-'naziri' ki ho 'talib' ka kalam
'keats' 'tagore' ki 'iqbaal' hon 'tulsi' hon ki 'mir'
sab se 'ghaalib' ko juda rakhta hai 'ghaalib' ka kalam
aaj bhi hazrat-e-ghaalib ka qalam zinda hai
us se milta hai abhi jis ki zarurat hai hamein
aaj ke daur mein bhi taza hain afkar us ke
ye alag baat ki us se bhi kudurat hai hamein
- Book : Shahre be Chiragh Mein (Pg. 113)
- Author : Saeed Arifi
- Publication : Pahchan Publications (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.