gamzan
kabhī retīle ḳhushk maidān meñ
koī bādal kā āvāra TukḌā
kisī ghar se bhāge hue pyāre bachche kī mānind
āvārgī kartā kartā
zamānoñ se sūkhī huī ret ko pyaar se dekhtā hai
vo achchhī tarah jāntā hai
ki is ret ke ḳhushk siine meñ dil hai
jo apnī tabāhī pe rotā nahīñ hai
jo kahtā nahīñ hai
ki ''aao mujhe is gaḌhe se nikālo
mire muñh ko dho kar
mirī maañg meñ sabz pattoñ kā chandan bharo''
vo bādal kā āvāra TukḌā
jo bachchoñ kī mānind ma.asūm hai
apnī kājal lagī bhīgī āñkhoñ se us kī taraf dekhtā hai
vo rotā hai
aur us ke aañsū
sulagtī huī ret ke ḳhushk siine meñ halchal machāte haiñ
ḳhushbū luTāte haiñ
aur un kī ḳhushbū
musāfir akele musāfir se kahtī hai
chalte raho
abhī zindagī meñ namī hai
abhī sard jhoñkoñ kā sailāb soyā nahīñ hai
kabhi retile KHushk maidan mein
koi baadal ka aawara TukDa
kisi ghar se bhage hue pyare bachche ki manind
aawargi karta karta
zamanon se sukhi hui ret ko pyar se dekhta hai
wo achchhi tarah jaanta hai
ki is ret ke KHushk sine mein dil hai
jo apni tabahi pe rota nahin hai
jo kahta nahin hai
ki aao mujhe is gaDhe se nikalo
mere munh ko dho kar
meri mang mein sabz patton ka chandan bharo
wo baadal ka aawara TukDa
jo bachchon ki manind masum hai
apni kajal lagi bhigi aankhon se us ki taraf dekhta hai
wo rota hai
aur us ke aansu
sulagti hui ret ke KHushk sine mein halchal machate hain
KHushbu luTate hain
aur un ki KHushbu
musafir akele musafir se kahti hai
chalte raho
abhi zindagi mein nami hai
abhi sard jhonkon ka sailab soya nahin hai
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 801)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.