gandhi ji ki shahadat par KHiraj-e-aqidat
raushnī bah ga.ī chāñdnī Dhal ga.ī
zindagī luT ga.ī shāñtī miT ga.ī
raushnī bah ga.ī raushnī hai amar
raushnī hai amar raushnī hai amar
har taraf us kī muskān bikhrī huī
har taraf us kā sañgīt phailā huā
har taraf us ke alfāz gūñje hue
har taraf us ke sapne haiñ bikhre hue
har taraf us kī yādoñ kī parchhā.iyāñ
har taraf us kī sāñsoñ kī shahnā.iyāñ
hai añdhere ke baa'd aur bhī chāñdnī
aur bhī zindagī aur bhī raushnī
raushnī hai amar raushnī hai amar
raushnī bah ga.ī raushnī hai amar
raushni bah gai chandni Dhal gai
zindagi luT gai shanti miT gai
raushni bah gai raushni hai amar
raushni hai amar raushni hai amar
har taraf us ki muskan bikhri hui
har taraf us ka sangit phaila hua
har taraf us ke alfaz gunje hue
har taraf us ke sapne hain bikhre hue
har taraf us ki yaadon ki parchhaiyan
har taraf us ki sanson ki shahnaiyan
hai andhere ke ba'd aur bhi chandni
aur bhi zindagi aur bhi raushni
raushni hai amar raushni hai amar
raushni bah gai raushni hai amar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.