gandhi
ek faqīr
ek insāñ paikar-e-iḳhlās rūh-e-rāstī
ik faqīr-e-be-navā īsār jis kī zindagī
jis ke har qaul-o-amal meñ amn kā paiġhām thā
jis kā har iqdām goyā āfiyat-anjām thā
jis kī duniyā bandagī bhagTī surūr-e-jāvedāñ
jis kī duniyā kaif-o-sarmastī kī hāsil be-gumāñ
āshtī thī jis kī fitrat jis kā maz.hab pyaar thā
ḳhidmat-e-insāniyat kā jo alam-bardār thā
azm ne jis ke har ik mushkil ko āsāñ kar diyā
jazba-e-ehsās-e-ḳhuddārī bashar meñ bhar diyā
naaz uThā.e hind ke vo hind kā ġham-ḳhvār thā
kārvān-e-hurriyat kā rahbar-o-sālār thā
ye bhī hai mojiz-bayānī us kī har tahrīr kī
naqsh-e-farsūda se paidā ik na.ī tasvīr kī
ḳhaak se sho.ale uThe aur āsmāñ par chhā ga.e
māh-o-anjum ban ga.e kaun-o-makāñ par chhā ga.e
tīrgī bhāgī jahālat kī fazā chhuTne lagī
haule haule tīra-o-tārīk shab kaTne lagī
har taraf kaif-o-masarrat har taraf nūr-o-surūr
ġhunche ġhunche par tabassum chashm-e-nargis par ġhurūr
ye fusūñ-kārī huī jis ke sabab vo kaun thā
ye junūñ-kārī huī jis ke sabab vo kaun thā
naam thā gāñdhī magar us ke hazāroñ naam haiñ
ek mai-ḳhāna hai jis meñ har tarah ke jaam haiñ
ek faqir
ek insan paikar-e-iKHlas ruh-e-rasti
ek faqir-e-be-nawa isar jis ki zindagi
jis ke har qaul-o-amal mein amn ka paigham tha
jis ka har iqdam goya aafiyat-anjam tha
jis ki duniya bandagi bhagTi surur-e-jawedan
jis ki duniya kaif-o-sarmasti ki hasil be-guman
aashti thi jis ki fitrat jis ka mazhab pyar tha
KHidmat-e-insaniyat ka jo alam-bardar tha
azm ne jis ke har ek mushkil ko aasan kar diya
jazba-e-ehsas-e-KHuddari bashar mein bhar diya
naz uThae hind ke wo hind ka gham-KHwar tha
karwan-e-hurriyat ka rahbar-o-salar tha
ye bhi hai mojiz-bayani us ki har tahrir ki
naqsh-e-farsuda se paida ek nai taswir ki
KHak se shoale uThe aur aasman par chha gae
mah-o-anjum ban gae kaun-o-makan par chha gae
tirgi bhagi jahaalat ki faza chhuTne lagi
haule haule tira-o-tarik shab kaTne lagi
har taraf kaif-o-masarrat har taraf nur-o-surur
ghunche ghunche par tabassum chashm-e-nargis par ghurur
ye fusun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha
ye junun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha
nam tha gandhi magar us ke hazaron nam hain
ek mai-KHana hai jis mein har tarah ke jam hain
- Book : Sehr-e-Khayal (Pg. 50)
- Author : Sahir Hoshiarpuri
- Publication : Modern Publishing House (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.