ganw ki saDak
ye des muflis-o-nādār kaj-kulāhoñ kā
ye des be-zar-o-dīnār bādshāhoñ kā
ki jis kī ḳhaak meñ qudrat hai kīmiyā.ī kī
ye nāibān-e-ḳhudāvand-e-arz kā maskan
ye nek paak buzurgoñ kī ruuh kā madfan
jahāñ pe chāñd sitāroñ ne jubba-sā.ī kī
na jaane kitne zamānoñ se is kā har rasta
misāl-e-ḳhāna-e-be-ḳhānumāñ thā darbasta
ḳhushā ki aaj ba-fazl-e-ḳhudā vo din aayā
ki dast-e-ġhaib ne is ghar kī dar-kushā.ī kī
chune ga.e haiñ sabhī ḳhaar is kī rāhoñ se
sunī ga.ī hai bil-āḳhir barahna-pā.ī kī
ye des muflis-o-nadar kaj-kulahon ka
ye des be-zar-o-dinar baadshahon ka
ki jis ki KHak mein qudrat hai kimiyai ki
ye naiban-e-KHudawand-e-arz ka maskan
ye nek pak buzurgon ki ruh ka madfan
jahan pe chand sitaron ne jubba-sai ki
na jaane kitne zamanon se is ka har rasta
misal-e-KHana-e-be-KHanuman tha darbasta
KHusha ki aaj ba-fazl-e-KHuda wo din aaya
ki dast-e-ghaib ne is ghar ki dar-kushai ki
chune gae hain sabhi KHar is ki rahon se
suni gai hai bil-aKHir barahna-pai ki
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 665)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.