gayon ka jalsa
ik roz kisī gaay ke jī meñ ye samāyā
insān ne ham ko to burī tarah satāyā
lāzim hai ki ik jalsa kare qaum hamārī
aur aa ke sharīk us meñ ho har apnā parāyā
tajvīz hoñ is zulm se bachne ke tarīqe
har roz kī saḳhtī se to dam naak meñ aayā
kuchh aur bhī gaa.eñ jo vahāñ paas thiiñ maujūd
us gaay ne un sab ko bhī ye bhed batāyā
bas ho ga.ī phir jalse kī tārīḳh muqarrar
un gāyoñ ne is meñ baḌī gāyoñ ko bulāyā
jab aa ke vahāñ baiTh ga.iiñ saiñkaḌoñ gaa.eñ
ik gaay ko is jalse kā sardār banāyā
ik gaay ne phir uTh ke kahā suntī ho bahno
insān ne ham ko to bahut naach nachāyā
ab baḌh ga.e haiñ zulm-o-sitam had se ziyāda
kar Daalā hai zālim ne hazāroñ kā safāyā
daane kā to kyā zikr nahīñ ghaas bhī miltī
bhūke rahe fāqoñ ne hameñ ḳhuub ghulāyā
is tarah jo kamzor hue ham to sitam hai
zālim ne qasā.ī se hameñ zab.h karāyā
mochī ke havāle huī phir khaal hamārī
afsos hai us ne bhī to juutā hī banāyā
bas is se ziyāda bhī na hogī koī zillat
afsos hai pahle se hameñ dhyān na aayā
insān ne kuchh qadr na kī ranj hai is kā
ghī ham ne khilāyā use aur duudh pilāyā
behtar hai ki ab chhoḌ deñ ham us se ta.alluq
jangal meñ raheñ shahar meñ kuchh chain na paayā
ghaas aur hare khet chareñ apnī ḳhushī se
āzād hoñ kyoñ jaan ko ye rog lagāyā
taqrīr huī ḳhatm to ik niilī sī gaay
jhuñjhlā ke uThī aur use ġhussa bahut aayā
kahne lagī sun ai mirī pur-josh bahan sun
insān kā jo zulm-o-sitam tū ne jatāyā
insāf se dekho to ye hai farq samajh kā
ehsān jo us kā hai vo kyoñ dil se bhulāyā
vo raat ko detā hai hameñ vaqt pe chāra
sardī ho to kartā hai hamāre liye saayā
barsāt meñ machchhar bhī uḌātā hai dho.eñ se
us ne hameñ taklīf se aur dukh se bachāyā
har tarah se kartā hai hifāzat vo hamārī
kyā ho gayā ham ne jo use duudh pilāyā
jangal meñ ye ārām ye rāhat nahīñ hargiz
tauba karo tauba ye hai kyā jī meñ samāyā
jangal meñ to haiñ sher bhī chīte bhī hazāroñ
khā jaa.eñ hameñ phaaḌ ke kar Dāleñ safāyā
sardī ho to jangal meñ nahīñ koTharī koī
bārish ho to chhappar hai koī chhat hai na saaya
insān hamāre liye rāhat kā sabab hai
bas ham ne use sun liyā jo tum ne sunāyā
achchhī nahīñ nāshukr-guzārī kī ye bāteñ
afsos hai jalse meñ yahīñ vaqt gañvāyā
insān ne kuchh zulm bhī ham par kiye be-shak
lekin na bachā us se koī apnā parāyā
jo apne hī ham-jinsoñ ke ho ḳhuun kā pyāsā
kyā shikva agar ham pe use rahm na aayā
ai bahno munāsib hai ki tum sabr karo ab
kahte haiñ ḳhudā ko bhī to ye sabr hai bhāyā
us gaay kī taqrīr se chup ho ga.ī gaa.eñ
phir sab ne kahā Thiik hai jo tum ne batāyā
ek roz kisi gay ke ji mein ye samaya
insan ne hum ko to buri tarah sataya
lazim hai ki ek jalsa kare qaum hamari
aur aa ke sharik us mein ho har apna paraya
tajwiz hon is zulm se bachne ke tariqe
har roz ki saKHti se to dam nak mein aaya
kuchh aur bhi gaen jo wahan pas thin maujud
us gay ne un sab ko bhi ye bhed bataya
bas ho gai phir jalse ki tariKH muqarrar
un gayon ne is mein baDi gayon ko bulaya
jab aa ke wahan baiTh gain sainkaDon gaen
ek gay ko is jalse ka sardar banaya
ek gay ne phir uTh ke kaha sunti ho bahno
insan ne hum ko to bahut nach nachaya
ab baDh gae hain zulm-o-sitam had se ziyaada
kar Dala hai zalim ne hazaron ka safaya
dane ka to kya zikr nahin ghas bhi milti
bhuke rahe faqon ne hamein KHub ghulaya
is tarah jo kamzor hue hum to sitam hai
zalim ne qasai se hamein zabh karaya
mochi ke hawale hui phir khaal hamari
afsos hai us ne bhi to juta hi banaya
bas is se ziyaada bhi na hogi koi zillat
afsos hai pahle se hamein dhyan na aaya
insan ne kuchh qadr na ki ranj hai is ka
ghi hum ne khilaya use aur dudh pilaya
behtar hai ki ab chhoD den hum us se talluq
jangal mein rahen shahar mein kuchh chain na paya
ghas aur hare khet charen apni KHushi se
aazad hon kyon jaan ko ye rog lagaya
taqrir hui KHatm to ek nili si gay
jhunjhla ke uThi aur use ghussa bahut aaya
kahne lagi sun ai meri pur-josh bahan sun
insan ka jo zulm-o-sitam tu ne jataya
insaf se dekho to ye hai farq samajh ka
ehsan jo us ka hai wo kyon dil se bhulaya
wo raat ko deta hai hamein waqt pe chaara
sardi ho to karta hai hamare liye saya
barsat mein machchhar bhi uData hai dhoen se
us ne hamein taklif se aur dukh se bachaya
har tarah se karta hai hifazat wo hamari
kya ho gaya hum ne jo use dudh pilaya
jangal mein ye aaram ye rahat nahin hargiz
tauba karo tauba ye hai kya ji mein samaya
jangal mein to hain sher bhi chite bhi hazaron
kha jaen hamein phaD ke kar Dalen safaya
sardi ho to jangal mein nahin koThari koi
barish ho to chhappar hai koi chhat hai na saya
insan hamare liye rahat ka sabab hai
bas hum ne use sun liya jo tum ne sunaya
achchhi nahin nashukr-guzari ki ye baaten
afsos hai jalse mein yahin waqt ganwaya
insan ne kuchh zulm bhi hum par kiye be-shak
lekin na bacha us se koi apna paraya
jo apne hi ham-jinson ke ho KHun ka pyasa
kya shikwa agar hum pe use rahm na aaya
ai bahno munasib hai ki tum sabr karo ab
kahte hain KHuda ko bhi to ye sabr hai bhaya
us gay ki taqrir se chup ho gai gaen
phir sab ne kaha Thik hai jo tum ne bataya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.